Hai Saf Aara Sab Hoor O Malak Qaseeda E Meraj Lyrics

हैं सफ़-आरा सब हूर-ओ-मलक और ग़िलमाँ ख़ुल्द सजाते हैं | क़सीदा-ए-मेराज / Hain Saf-aara Sab Hoor-o-Malak Aur Ghilman Khuld Sajate Hain | Qaseeda-e-Meraj
हैं सफ़-आरा सब हूर-ओ-मलक और ग़िलमाँ ख़ुल्द सजाते हैं
इक धूम है ‘अर्श-ए-आ’ज़म पर, मेहमान ख़ुदा के आते हैं

है आज फ़लक रौशन रौशन, हैं तारे भी जगमग जगमग
महबूब ख़ुदा के आते हैं, महबूब ख़ुदा के आते हैं

जिब्रील-ए-अमीन बुराक़ लिए जन्नत से ज़मीं पर आ पहुँचे
बारात फ़िरिश्तों की आई, मे’राज को दूल्हा जाते हैं

दीवानो ! तसव्वुर में देखो ! असरा के दूल्हा का जल्वा
झुरमुट में मलाइक ले कर उन्हें मे’राज का दूल्हा बनाते हैं

अक़्सा में सुवारी जब पहुँची, जिब्रील ने बढ़ के कही तकबीर
नबियों की इमामत अब बढ़ कर सुल्तान-ए-जहाँ फ़रमाते हैं

वो कैसा हसीं मंज़र होगा ! जब दूल्हा बना सरवर होगा
‘उश्शाक़ तसव्वुर कर कर के बस रोते ही रह जाते हैं

ये शाह ने पाई स’आदत है, ख़ालिक़ ने ‘अता की ज़ियारत है
जब एक तजल्ली पड़ती है, मूसा तो ग़श खा जाते हैं

मे’राज की शब तो याद रखा, फिर हश्र में कैसे भूलेंगे
‘अत्तार ! इसी उम्मीद पे हम दिन अपने गुज़ारे जाते हैं

शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
अश्फ़ाक़ अत्तारी
महमूद अत्तारी
असद रज़ा अत्तारी

 

hai.n saf-aara sab hoor-o-malak
aur Gilmaa.n KHuld sajaate hai.n
ik dhoom hai ‘arsh-e-aa’zam par
mehmaan KHuda ke aate hai.n

hai aaj falak raushan raushan
hai.n taare bhi jagmag jagmag
mahboob KHuda ke aate hai.n
mahboob KHuda ke aate hai.n

jibreel-e-ameen buraaq liye
jannat se zamee.n par aa pahunche
baaraat firishto.n ki aai
me’raj ko dulha jaate hai.n

deewaano ! tasawwur me.n dekho !
asra ke dulha ka jalwa
jhurmuT me.n malaaik le kar unhe.n
me’raj ka dulha banaate hai.n

aqsa me.n suwaari jab pahunchi
jibreel ne ba.Dh ke kahi takbeer
nabiyo.n ki imaamat ab ba.Dh kar
sultaan-e-jahaa.n farmaate hai.n

wo kaisa hasee.n manzar hoga !
jab dulha bana sarwar hoga
‘ushshaaq tasawwur kar kar ke
bas rote hi rah jaate hai.n

ye shaah ne paai sa’aadat hai
KHaliq ne ‘ata ki ziyaarat hai
jab ek tajalli pa.Dti hai
moosa to Gash kha jaate hai.n

me’raaj ki shab to yaad rakha
phir hashr me.n kaise bhoolenge
‘Attar ! isi ummeed pe ham
din apne guzaare jaate hai.n

Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Ashfaq Attari
Mahmood Attari
Asad Raza Attari

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,790 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...888 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...631 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...513 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...455 views

Leave a Comment