गुनाहों की आदत छुड़ा मेरे मौला / Gunahon Ki Aadat Chhuda Mere Maula

गुनाहों की आदत छुड़ा मेरे मौला / Gunahon Ki Aadat Chhuda Mere Maula

गुनाहों की ‘आदत छुड़ा, मेरे मौला !
मुझे नेक इंसाँ बना, मेरे मौला !

जो तुझ को, जो तेरे नबी को पसंद है
मुझे ऐसा बंदा बना, मेरे मौला !

तू मस्जूद मेरा, मैं साजिद हूँ तेरा
तू मालिक, मैं बंदा तेरा, मेरे मौला !

तू लेगा अगर ‘अद्ल से काम अपने
मैं हूँ मुस्तहिक़ नार का, मेरे मौला !

जो रहमत तेरी शामिल-ए-हाल हो तो
ठिकाना है जन्नत मेरा, मेरे मौला !

तुझे तो ख़बर है मैं कितना बुरा हूँ
तू ‘ऐबों को मेरे छुपा, मेरे मौला !

मेरी ता-क़यामत जो नस्लें हों, या रब !
हों सब ‘आशिक़-ए-मुस्तफ़ा, मेरे मौला !

न मोहताज कर तू जहाँ में किसी का
मुझे मुफ़्लिसी से बचा, मेरे मौला !

हैं का’बे पे नज़रें ‘उबैद-ए-रज़ा की
हो मक़बूल हर इक दु’आ, मेरे मौला !

शायर:
ओवैस रज़ा क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

 

gunaaho.n ki ‘aadat chhu.Da, mere maula !
mujhe nek insaa.n bana, mere maula !

jo tujh ko, jo tere nabi ko pasand hai
mujhe aisa banda bana, mere maula !

tu masjood mera, mai.n saajid hu.n tera
tu maalik, mai.n banda tera, mere maula !

tu lega agar ‘adl se kaam apne
mai.n hu.n mustahiq naar ka, mere maula !

jo rahmat teri shaamil-e-haal ho to
Thikaana hai jannat mera, mere maula !

tujhe to KHabar hai mai.n kitna bura hu.n
tu ‘aibo.n ko mere chhupa, mere maula !

meri taa-qayaamat jo nasle.n ho.n, ya rab !
ho.n sab ‘aashiq-e-mustafa, mere maula !

na mohtaaj kar tu jahaa.n me.n kisi ka
mujhe muflisi se bacha, mere maula !

hai.n kaa’be pe nazre.n ‘Ubaid-e-Raza ki
ho maqbool har ik du’aa, mere maula !

Poet:
Owais Raza Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment