Jab kabhi ham ne gham-e-jaanan ko bhulaya hoga lyrics
GHAM-E-HASTI NE HAMEIN KHOON RULAYA
HOGA
Jab kabhi ham ne gham-e-jaanaN ko bhulaya hoga.
Gham-e-hasti ne hameiN khoon rulaya hoga.
Daaman-e-dil jo soo-e-yaar khincha jaata hay
Ho na ho us ne mujhe aaj bulaaya hoga.
Aankh utha kar to dekh mere dil ki taraf
Teri yaadoN ka chaman dil me sajaaya hoga.
Gardish-e-dour hameiN cheRh na itna warna
Apne naaloN se abhi hashr uthaaya hoga.
Doob jaye na kahiN gham me hamare ‘aalam
Ham jo ro deN ge to behta huwa darya hoga.
Sochiye kitna haseeN hoga wo lahza-e-AKHTAR
Sar baaliN pe dam-e-margh wo aaya hoga.
Popular Posts
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...134 views

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views