ghame hussain hamesha naya nazar aaya lyrics

Ghame Hussain hamesha naya nazar aayaYeh zakhm koi bhi rut ho hara nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hum usko kahtey hain Maula -e-kayanaat ke joNabi kisi ko kisi ko Khuda naya nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jahan bhi baith gaye majlis-e-Hussain ko humWahi se khuld ka ek raasta nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Zaroor bhagti faujey ke sar par pao theyLabe Furaath na ek naqsh-e-pa nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Yeh tum ne teer se kya has ke kah diya AsgharNishana tum pe, mara Hurmula nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Tamaam raat charagh-e-zameer ki lau meinSawara Hur ke liye jaagta nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Bujhi jo aag Saah-e-Karbala ke khaimon kiAmir-e-Shyam ka chhera jala nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jo aasman pa shafaq ki ibaratoon ka payaamLahu se likkha hua Karba la nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Salaam us par jisse zer-e-khanjar e qatilMaqaam-e-Sajda-e-shukr e Khuda nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hussain usko ata ho Anees* ka sadqaTere huzoor sarafa dua nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Leave a Comment