Fazle Rabbul Ula Aur Kya Chahiye Naat Lyrics
Fazle Rabbul Ula Aur Kya Chahiye
Mil Gaye Mustafa Aur Kya Chahiye
Daamane Mustafa Jis Ke Haathon Mein Hai
Us Ko Roze Jazaa Aur Kya Chahiye
Gumbade Sabz Khwabon Mein Aane Laga
Haazri Ka Silaa Aur Kya Chahiye
Bheek Ke Saath Hi Un Ke Darbaar Se
Mil Rahi Hai Dua Aur Kya Chahiye
Ye Jabeen Aur Riyaaz Ul Jannah Ki Zameen
Ab Qaza Ke Siwa Aur Kya Chahiye
Hai Sikandar Sana Khwaan Shaahe Umam
Izzato Martaba Aur Kya Chahiye
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...525 views