Fateh-e-Karb-o-bala Par Ho Salam

Karbala ke azeem shuhada aur khandan-e-Rasool S.A.W. ki bargah mein aqeedat-o-ishq ka nuzool karta ye nihayat hi mashhoor aur asar-angeez Noha ‘Fateh-e-Karb-o-bala Par Ho Salam’ Shauq Faridi sahab ki ek maqbool takhleeq hai. Is kalam ka ek ek sher Maula Hussain Alaihissalam, Maula Abbas, Ali Akbar, Ali Asghar aur Bibi Zainab S.A. ki be-misaal qurbaniyon aur sabr ko badi khubsoorati se pesh karta hai. Hafiz Tahir Qadri sahab ki pur-dard aawaz mein parha gaya ye kalam momineen ke dilon ko rula deta hai aur Karbala ki yaad ko taza karta hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleFateh-e-Karb-o-bala Par Ho Salam
Poet / WriterShauq Faridi
CategoryNoha / Salam / Karbala
Naatkhawan / ReciterHafiz Tahir Qadri

Naat Lyrics in Roman

faateh-e-karb-o-bala par ho salaam
jaanasheen-e-mustafa par ho salaam

hazrat-e-shabbir ibn-e-murtaza
haafiz-e-deen-e-KHuda par ho salaam

hazrat-e-‘abbaas-o-qaasim par bhi ho
yaa’ni saare baa-wafa par ho salaam

us ‘ali akbar haseen-o-mah-jabee.n
ham-shabeeh-e-mustafa par ho salaam

chhe mahine ki wo ik nanhi si jaa.n
yaa’ni asGar be-nawa par ho salaam

be.Diyaa.n pehne jo pahuncha mulk-e-shaam
us aseer-e-paarsa par ho salaam

dast-e-zulmat aur wo parda-daariyaa.n
bibi zainab ki haya par ho salaam

kahiye, ai Shauq-e-Fareedi ! hashr tak
‘itrat-e-KHair-ul-wara par ho salaam

Naat Lyrics in Hindi

फ़ातेह-ए-कर्ब-ओ-बला पर हो सलाम
जानशीन-ए-मुस्तफ़ा पर हो सलाम

हज़रत-ए-शब्बीर इब्न-ए-मुर्तज़ा
हाफ़िज़-ए-दीन-ए-ख़ुदा पर हो सलाम

हज़रत-ए-‘अब्बास-ओ-क़ासिम पर भी हो
या’नी सारे बा-वफ़ा पर हो सलाम

उस ‘अली अकबर हसीन-ओ-मह-जबीं
हम-शबीह-ए-मुस्तफ़ा पर हो सलाम

छे महीने की वो इक नन्ही सी जाँ
या’नी असग़र बे-नवा पर हो सलाम

बेड़ियाँ पहने जो पहुँचा मुल्क-ए-शाम
उस असीर-ए-पारसा पर हो सलाम

दस्त-ए-ज़ुल्मत और वो पर्दा-दारियाँ
बीबी ज़ैनब की हया पर हो सलाम

कहिए, ऐ शौक़-ए-फ़रीदी ! हश्र तक
‘इत्रत-ए-ख़ैर-उल-वरा पर हो सलाम

Naat Lyrics in Urdu

فاتحِ کرب و بلا پر ہو سلام
جانشینِ مصطفیٰ پر ہو سلام

حضرتِ شبیر ابنِ مرتضیٰ
حافظِ دینِ خدا پر ہو سلام

حضرتِ عباس و قاسم پر بھی ہو
یعنی سارے با وفا پر ہو سلام

اس علی اکبر حسین و مہ جبیں
ہم شبیہِ مصطفیٰ پر ہو سلام

چھے مہینے کی وہ اک ننھی سی جاں
یعنی اصغر بے نوا پر ہو سلام

بیڑیاں پہنے جو پہنچا ملکِ شام
اس اسیرِ پارسا پر ہو سلام

دستِ ظلمت اور وہ پردہ داریاں
بی بی زینب کی حیا پر ہو سلام

کہیے، اے شوقِ فریدی! حشر تک
عترتِ خیر الوریٰ پر ہو سلام

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,056 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,920 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,913 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,540 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,001 views

Leave a Comment