Dua Karo Mera Noore Nazar Noha Lyrics

Dua karo mera noor-e-nazar palatt aaye

Mera pisar, Mera laqthey jigar palatt aaye

Kaha Hussain ney Laila sey roko Akbar ko

Karoon main pyaar lipatt kar kaho palatt aaye

Shabi hai Naana ki Akbar kahin nazar na lagey

Utaaro sadqaa main uspar kaho palatt aaye

Tumhi sadaa doh usay ya kaho yeh Zainab sey

Bulaalo waasta dey kar kaho palatt aaye

Hai dhoop ithni kay sholay ugal rahi hai zameen

Baddhegi pyaas ki shiddat kaho palatt aaye

Hai intezaar mein Sughra teri Madiney mein

Lagaaye aass woh khwaahar kaho palatt aaye

Main dulhaa usko banaoon tamanna hai yeh meri

Pinhaao sehra sajaakar kaho palatt aaye

Jawaan beta hai mera hai mannathon waala

Koyi toh rok lo baddkar kaho palatt aaye

Usay kaho kay akeila na choday jaao humein

Sahaara doh humein aakar kaho palatt aaye

Sakina kehti hai Baba bulaalo Bhaiyya ko

Chachaa bhi aaye na jaakar kaho palatt aaye

Jab iskay seenay mein barchee ka phal jo tooteygaa

Main kaisey dekhoon yeh manzar kaho palatt aaye

Main kaisey laash pa jaaoon kamar bhi tooti hai

Qadam qadam pa hai ttohkar kaho palatt aaye

Zaraa si taabh nahin hai Main thakk gayaa hoon bahoth

Subhaa sey laashey utthaakar kaho palatt aaye

Humaara laadla Laila chalaa hai marney ko

Hum usko dekhlein jee bhar kaho palatt aaye

Tu sonch Mehdi woh kaisaa samaan tha Karbal ka

Pukaartey thay jo Sarwar kaho palatt aaye

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...283 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...130 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...129 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...119 views

Leave a Comment