Dilon Ke Gulshan Mehek Rahe Hain Naat Lyrics

Dilon Ke Gulshan Mehek Rahe Hain Naat Lyrics

 

Dilon Ke Gulshan Mehek Rahe Hain Ye Kaif Kyun Aaj Aa Rahe Hain
Kuch Aisa Mehsoos Ho Raha He Huzoor Tashreef Laa Rahe Hain
Nawaazishon Par Nawazzishen Hain Inaayaton Par Inayaten Hain
Nabi Ki Naate Suna Suna Kar Hum Apni Qismat Jagaa Rahe Hain

Kahi Pe Raunaq Hai Maikashon Ki Kahi Pe Mehfil Hai Dil Jalon Ki
Woh Kitne Khush Bakht Hain Jo Nabi Ki Mehfil Sajaa Rahe Hain

Na Paas Pi Ho To Soona Saawan Wo Jis Se Raazi Wohi Suhaagan
Jinhon Ne Pakda Nabi Ka Daaman Unhi Ke Ghar Jagmagaa Rahe Hain

Kaha Ka Mansab Kaha Ki Daulat Qasam Khuda Ki Ye Hai Haqeeqat
Jinhen Bulaya Hai Mustafa Ne Wohi Madine Ko Jaa Rahe Hain

Habeebe Daawar Ghareeb Parwar Rasoole Akram Karam Ke Paikar
Kisi Ko Dar Pe Bula Rahe Hain Kisi Ki Khwabon Me Aa Rahe Hain

Mai Apne Khair-Ul-Wara Ke Sadqe Mai Unki Shaane Ataa Ke Sadqe
Bhara Hai Aibon Se Mera Daaman Huzoor Phir Bhi Nibhaa Rahe Hain

Banega Jaane Ka Phir Bahaana Kahega Aakar Koi Deewana
Chalo Niyaazi Tumhe Madine Madine Waale Bulaa Rahe Hain

Dilon Ke Gulshan Mehek Rahe Hain Naat Lyrics
Dilon Ke Gulshan Mehek Rahe Hain Naat Lyrics

 

Leave a Comment