DIL MEIN HO YAAD TERI GOSHA E TANHAII HO NAAT LYRICS || दिल में हो याद तेरी गोशा-ए-तन्हाई हो

“Dil Mein Ho Yaad Teri Gosha-e-Tanhai Ho” Ustaz-e-Zaman Maulana Hasan Raza Khan Bareilvi ka likha hua ek nihayat hi roohani aur maqbool-e-zamaana kalam hai.
Is pakiza naat-e-pak mein Huzoor ﷺ ki bargah-e-risalat mein tana’am-e-ishq, khwab-e-ajal ki tamanna aur unke be-panah karam-o-sakhawat ka khoobsurat bayaan hai.
Aaiye is dilon ko ishq-e-mustafa ke noor se tar-o-taza karne wale salaam ke haseen ash’aar ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan mein adab ke sath padhein.

Naat InformationDetails
Naat TitleDil Mein Ho Yaad Teri Gosha-e-Tanhai Ho
Poet / WriterMaulana Hasan Raza Khan Bareilvi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterVarious Reciters

Naat Lyrics in Roman

dil mein ho yaad teri gosha-e-tanhai ho
phir to khalwat mein ajab anjuman aarai ho

aaj jo aib kisi par nahin khulne dete
kab wo chahenge meri hashr mein ruswai ho

aastana pe tire sar ho ajal aayi ho
aur ai jaan-e-jahaan tu bhi tamashai ho

ik jhalak dekhne ki taab nahin aalam ko
wo agar jalwa karein kaun tamashai ho

kabhi aisa na hua unke karam ke sadqe
haath ke phailne se pehle na bheek aayi ho

yehi manzoor tha qudrat ko ki saaya na bane
aise yakta ke liye aisa hi yaktai ho

uski qismat pe fida takht-e-shahi ki rahat
khaak-e-taiba pe jise chain ki neend aayi ho

band jab khwab-e-ajal se hon hasan ki aankhein
uski nazron mein tira jalwa-e-zebai ho

Naat Lyrics in Hindi

दिल में हो याद तेरी गोशा-ए-तन्हाई हो
फिर तो ख़लवत में अजब अंजुमन आराइ हो

आज जो ऐब किसी पर नहीं खुलने देते
कब वो चाहेंगे मेरी हश्र में रुसवाई हो

आस्ताना पे तिरे सर हो अजल आई हो
और ऐ जान-ए-जहाँ तू भी तमाशाई हो

इक झलक देखने की ताब नहीं आलम को
वो अगर जल्वा करें कौन तमाशाई हो

कभी ऐसा ना हुआ उनके करम के सदक़े
हाथ के फैलने से पहले ना भीक आई हो

यही मंज़ूर था क़ुदरत को कि साया ना बने
ऐसे यकता के लिए ऐसी ही यकताई हो

उसकी क़िस्मत पे फ़िदा तख़्त-ए-शही की राहत
ख़ाक-ए-तैबा पे जिसे चैन की नींद आई हो

बन्द जब ख़्वाब-ए-अजल से हों हसन की आँखें
उसकी नज़रों में तिरा जल्वा-ए-ज़ेबाई हो

Naat Lyrics in Urdu

دل میں ہو یاد تیری گوشہ تنہائی ہو
پھر تو خلوت میں عجب انجمن آرائی ہو

آج جو عیب کسی پر نہیں کھلنے دیتے
کب وہ چاہیں گے میری حشر میں رسوائی ہو

آستانہ پہ ترے سر ہو اجل آئی ہو
اور اے جان جہاں تو بھی تماشائی ہو

اک جلاک دیکھنے کی تاب نہیں عالم کو
وہ اگر جلوہ کریں کون تماشائی ہو

کبھی ایسا نہ ہوا اُن کے کرم کے صدقے
ہاتھ کے پھیلنے سے پہلے نہ بھیک آئی ہو

یہی منظور تھا قدرت کو کہ سایہ نا بنے
ایسے یکتا کے لئے ایسی ہی یکتائی ہو

اس کی قسمت پہ فدا تخت شہی کی راحت
خاک طیبہ پہ جسے چین کی نیند آئی ہو

بند جب خواب اجل سے ہوں حسن کی آنکھیں
اس کی نظروں میں تیرا جلوہ زیبائی ہو

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,250 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,478 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,548 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,512 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,279 views

Leave a Comment