Dil me kisi ko aur basaaya na jaayega Naat Lyrics

Dil me kisi ko aur basaaya na jaayega Naat Lyrics

 

Dil me kisi ko aur basaaya na jaayega
Zikre Rasoole Paak bhulaaya na jaayega
Woh khud hi jaan lenge jataaya na jaayega
Hum se to apna haal sunaaya na jaayega

Hum ko jazaa milegi Muhammad se Ishq ki
Dozakh ke aas paas bhi laaya na jaayega

Kehte the ye Bilal tashadud pe kufr ke
Ishqe Nabi to dil se nikaala na jaayega

Beshak Huzoor Shaafae Mehshar hain Munkiron
kya Un ka saamne Tumhe laaya na jaayega

Maanega unki baat Khuda hashr me Naseer
Bin Mustafa Khuda ko manaaya na jaayega

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,764 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,628 views

Leave a Comment