Dil Main Ishqe Nabi Ki Ho Aesi Lagan Naat Lyrics

Dil Main Ishq e Nabi Ki Ho Aisi Lagan Naat Lyrics
Dil main ishq e Nabi ki ho aisi lagan,
Ruh tarapti rahe dil machalta rahe
Zindagi ka maza hey kay har saans say
Ya Muhammad Muhammad (Sallallaho Alayhi Wasallam) nikalta rahey.

Dil Main Ishq-e-Nabi Kee Ho Aesee Lagan
Ya Muhammad Muhammad mein kehta raha,
Noor kay motiyo ki lare ban gaee,
Ayaton sey milata raha ayatein,

Phir jo dekha to Naat e Nabi ban gaye.
Jo bhi ansoo bahe merey Mehboob kay,
Sab key sab abr e rehmat kay cheentay banay,
Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,

Jab tabasum kiya chandani ban gaee.
Yeh to maana kay jannat hai bagh e haseen,
Khoobsoorat hey sab khuld ki sar zameen,
Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,

Sarwar e ambiya ki galee ban gaee.
Jab chirah tazkira un kay rukhsaar ka,
Waduha par liya, wal qamar keh dia,
Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,

Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi.
Sab say saim zamanay main mazoor tha,
Sab sey beykas tha beybas tha majboor tha ,
Un ko reham agaya merey halaat par,
Meree azmat meree beybasee ban gaee.

Dil mein ishq e Nabi ki ho aisi lagan,
Rooh tarapti rahay dil machalta rahay,
Zindagi ka maza hai kay har saans say,
Ya Muhammad Muhammad nikalta rahey

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...267 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...150 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...113 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...112 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...104 views

Leave a Comment