DIL KO UNSE KHUDA JUDA NA KARE NAAT LYRICS
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Bekasi Loot Le Khuda Na Kare
Isme Rouze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf
Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare
Ye Wahi Hai Ki Baksh Dete Hai
Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare
Sab Tabeebo Ne De Diya Hai Jawaab
Aah Eesa Agar Dawaa Na Kare
Dil Kaha Le Chala Haram Se Mujhe
Are Tera Bura Khuda Na Kare
Uzre Ummeed E Afw(a) Gar Na Sune
Ru Siyaah Aur Kya Bahana Kare
Dil Me Roushan Hai Shamm’e Ishq E Huzoor
Kaash Joshe Havas Hawa Na Kare
Hashr Me Hum Bhi Sayr Dekhenge
Munkir Aaj Unse Ilteja Na Kare
Zof Maana Magar Ye Zaalim Dil
Unke Raste Me To Thaka Na Kare
Jab Teri Khu Hai Sabka Jee Khana
Wahi Achha Jo Dil Bura Na Kare
Dil Se Ik Zouk E May Ka Talab Hu
Kaun Kehta Hai Itteqa Na Kare
Le ‘Raza’ Sab Chale Madine Ko
Mai Na Jaun Are Khuda Na Kare
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,952 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...755 views