Dil Baidar Farooqi Dil Baidar Karari Lyrics

dil-e-bedār fārūqī dil-e-bedār karrārī
mis-e-ādam ke haq meñ kīmiyā hai dil kī bedārī

dil-e-bedār paidā kar ki dil ḳhvābīda hai jab tak
na terī zarb hai kaarī na merī zarb hai kaarī

mashām-e-tez se miltā hai sahrā meñ nishāñ us kā
zan o taḳhmīñ se haath aatā nahīñ āhū-e-tātārī

is andeshe se zabt-e-āh maiñ kartā rahūñ kab tak
ki muġh-zāde na le jaa.eñ tirī qismat kī chingārī

ḳhudāvandā ye tere sāda-dil bande kidhar jaa.eñ
ki darveshī bhī ayyārī hai sultānī bhī ayyārī

mujhe tahzīb-e-hāzir ne atā kī hai vo āzādī
ki zāhir meñ to āzādī hai bātin meñ giraftārī

tū ai maulā-e-yasrib aap merī chārasāzī kar
mirī dānish hai afrañgī mirā īmāñ hai zunnārī

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,459 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,522 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,255 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,178 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,062 views

Leave a Comment