DIKHA DO MUJHKO PYAARA PYAARA KABA YA RASULALLAH NAAT LYRICS

DIKHA DO MUJHKO PYAARA PYAARA KABA YA RASULALLAH NAAT LYRICS

 

Dikha Do Mujhko Pyaara Pyaara Ka’ba Ya Rasulallah ﷺ
Madina Bhi Dikhado Meetha Meetha Ya Rasulallah ﷺ

Ye Hasrat Hai Me Phir Aaun Game Doori Mita Paun
Mujhe Bhi Tum Bulalo Na Khudara Ya Rasulallah ﷺ

Yaha Reh Krr Mujhe Bhi Ab Zamana Qaid Lagta Hai
Wo Jannat Ka Hasin Manzar Dikhado Ya Rasulallah ﷺ

Mujhe Bhi Bheek Mil Jaye Bhikhari Haath Phailaayen
Du’a Karta Hai Bss Ye Tera Mangta Ya Rasulallah ﷺ

Hazaron Qafile Taiba Ko Jate Laut Aate Hai
Mujhe Wapas Na Lautana Khudara Ya Rasulallah ﷺ

Me Rota Hu Tadapta Hu Bilakta Hu Mere Aqa ﷺ
Ziyarat Apni Karwado Khudara Ya Rasulallah ﷺ

Hawayen Bhi Mukhalif Hai Sabhi Thukra Chuke
Mujh ko Sahara Bss Tumhara Hai Tumhara Ya Rasulallah ﷺ

Game Doori Rulata Hai Madina Yaad Aata Hai
Tufaile Fatima Zahra Bulalo Ya Rasulallah ﷺ

Mera Dil Ab Sambhalne Ko Nhi Kehta Mere Aqa ﷺ
Bulalo Azpaye Hasanain o Haider Ya Rasulallah ﷺ

Jhalak Bss Ek Hi Mujhko Dikhado Ya Rasulallah ﷺ
Meri Aankhen Tarasti Dil Hai Rota Ya Rasulallah ﷺ

Gunahon Ka Mareez e Ladawan Hu Mujh Ko Bss Aqa ﷺ
Sambhalo Tum Bachalo Tum Nibhalo Ya Rasulallah ﷺ

UBAID-E-QADRI Ik Aas Prr Hi Jee Rha Hai
Haan Nhi To Kb Ka Mrr Jata Bichara Ya Rasulallah ﷺ

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,589 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment