Zaahir-e-Kuwe Jinaah Aahista Chal
Dekh Aaya Hai Kahaan Aahista Chal
Jaise Ji Chahe Jahan Mein Ghoom Phir
Ye Madinah Hai Yahan Aahista Chal
Baargah-e-Naaz Mein Aahista Bol
Hoga Sab Kuch Rayega Aahista Chal
Haazri Mein Hai Malak Sattar Hazaar
Qudsiyon Ke Darmiyan Aahista Chal
Dekhloon Ji Bhar Ke Sheher-e-Mustafa
Mere Meer-e-Kaarwan Aahista Chal
Jaliyon Ke Saamne Jaldi Na Kar
Woh Hai Naazish Meherbaan Aahista Chal