DEKAR KHUDA KO JAAN KI KIMAT NAAT LYRICS

DEKAR KHUDA KO JAAN KI KIMAT NAAT LYRICS

 

Najdi Ko Aaye Sharm Ye Bilkul Muhal Hai
Kyuki, Shaitan Ne Har Ek Ki Ghairat Khareed Li

Mashoor Kar Diya Mujhe Aaka Ki Naat Ne
Mene Nabi Ki Naat Se Shoharat Kharid Li

Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Khareed Li,
Har Ashike Rasool Ne Jannat Khareed Li.
Dekar Khuda Ko Jaan Ki.

Aaqa Ne Apni Zindagi Gurbat Me Kaat Kaat Kar,
Duniya Ke Har Gareeb Ki Gurbat Khareed Li.
Dekar Khuda Ko Jaan Ki.

Asgar Ke Us Tabassume Masoom Par Nisaar,
Ki Jisne Yazidiyo Ki Hukumat Khareed Li.
Dekar Khuda Ko Jaan Ki.

Ki Jisne Nabi Ki Yaad Ko Dil Me Basa Liya,
Samjho Ki Usne Khuld Ki Rahat Khareed Li.
Dekar Khuda Ko Jaan Ki.

Sao Baar Us Diwanae Sarkar Ko Salam,
Jisse Zobeda Bibi Ne Jannat Khareed Li.
Dekar Khuda Ko Jaan Ki.

Allāh Mustafa Ki Raza Ke Liye Asad,
Bazaare Mustafai Se Ummat Khareed Li
Dekar Khuda Ko Jaan Ki

Aur Mera Khehna Hai Ki,Mashoor Kar Diya Tumeh
Aaqa Ki Naat Ne.
Apne Nabi Ke Naat Se Duniya (Jannat) Khareed Li.

Dekar Khuda Ko Jaan Ki Kimat Khareed Li,
Har Ashike Rasool Ne Jannat Khareed Li.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,166 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment