Sayyed Shabahat Hussain sahab ka likha aur Sayyed Abdul Wasi Qadri ki aawaz me parha gaya yeh kalam dilon ko jazba-e-karbala se sarshaar karta hai.
Is pakizah manqabat me Shah-e-Karbala Imam Hussain r.a. ki shaan, unke sabr aur yazeediyat ke khilaf unki azeem fateh ko bayan kiya gaya hai.
Aaiye is ruhanat se labrez kalam ko padhein aur Shah-e-Karbala r.a. ki bargah me apni sachi aqeedat pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Deen-e-Muhammadi Ka Ujala Hussain Hai |
| Poet / Writer | Sayyed Shabahat Hussain |
| Category | Manqabat-e-Imam Hussain |
| Naatkhawan / Reciter | Sayyed Abdul Wasi Qadri |
Naat Lyrics in Roman
deen-e-muhammadi ka ujaala husain hai
mere rasool-e-paak ka pyaara husain hai
jis ne kuchal ke rakh diya taKHt-e-yazeed ko
sher-e-KHuda ke ghar ka wo beTa husain hai
is daur ke yazeed se sunni ko Dar nahi.n
kyunki hamaare seeno.n me.n zinda husain hai
us ke bhi us yazeed ko apna na keh sake
duniya ye keh rahi hai hamaara husain hai
piTna hi hai wo seena jis me.n nahi.n husain
ham ‘aashiqo.n ke seeno.n me.n aaqa husain hai
KHauf-e-yazeediyat ho Shabaahat ko kis liye
daada hai us ke Gaus to naana husain hai
Poet:
Sayyed Shabahat Hussain
Naat-Khwaan:
Sayyed Abdul Wasi Qadri
Naat Lyrics in Hindi
दीन-ए-मुहम्मदी का उजाला हुसैन है
मेरे रसूल-ए-पाक का प्यारा हुसैन है
जिस ने कुचल के रख दिया तख़्त-ए-यज़ीद को
शेर-ए-ख़ुदा के घर का वो बेटा हुसैन है
इस दौर के यज़ीद से सुन्नी को डर नहीं
क्यूँकि हमारे सीनों में ज़िंदा हुसैन है
उस के भी उस यज़ीद को अपना न कह सके
दुनिया ये कह रही है हमारा हुसैन है
पिटना ही है वो सीना जिस में नहीं हुसैन
हम ‘आशिक़ों के सीनों में आक़ा हुसैन है
ख़ौफ़-ए-यज़ीदियत हो शबाहत को किस लिए
दादा है उस के ग़ौस तो नाना हुसैन है
शायर:
सय्यिद शबाहत हुसैन
ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल वसी क़ादरी
Naat Lyrics in Urdu
دینِ محمدی کا اجالا حسین ہے
میرے رسولِ پاک کا پیارا حسین ہے
جس نے کچل کے رکھ دیا تختِ یزید کو
شیرِ خدا کے گھر کا وہ بیٹا حسین ہے
اس دور کے یزید سے سنی کو ڈر نہیں
کیوں کہ ہمارے سینوں میں زندہ حسین ہے
اس کے بھی اس یزید کو اپنا نہ کہہ سکے
دنیا یہ کہہ رہی ہے ہمارا حسین ہے
پٹنا ہی ہے وہ سینہ جس میں نہیں حسین
ہم عاشقوں کے سینوں میں آقا حسین ہے
خوفِ یزیدیت ہو شباہت کو کس لیے
دادا ہیں اس کے غوث تو نانا حسین ہے
شاعر:
سید شباہت حسین
نعت خواں:
سید عبدالوسیٰ قادری