Hazrat Imam Hussain alayhis salam ki azmat aur unke sabr ki dastan har momin ke dil me deen e haq ka jazba taza karti hai.
Yeh nihayat hi pyara aur mashhoor kalam ‘Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka’ shah e Karbala ke bahaaduri aur unki bar-haq shaan ko bayan karta hai.
Aaiye is muqaddas aur aqeedat se bharpoor kalam ko nihayat hi adab aur ehtiraam ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Dariya Hussain Ka Hai Samandar Hussain Ka |
| Poet / Writer | Traditional |
| Category | Manqabat Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Zainul Abedin Kanpuri |
Naat Lyrics in Roman
dariya husain ka hai, samandar husain ka
pyaaso.n ke waaste hai ye langar husain ka
hai aarzoo waha.n bhi mile dar husain ka
jannat me.n ban ke jaau.n mai.n naukar husain ka
sooraj ne apne sar ko adab se jhuka liya
neze pe jab baland huaa sar husain ka
sab jaante hai.n kitne bahaadar husain hai.n
maula ‘ali ke haath ka KHanjar husain hai.n
raah-e-KHuda me.n ghar diya aur sar bhi de diya
ab sochiye ki kitne dilaawar husain hai.n
koi yazeed kaise bhala sar uThaaega
maujood rab ke fazl se ghar ghar husain hai.n
chaudah sau saal pehle gaya tha jo qaafila
us qaafile ke aaj bhi rahbar husain hai.n
zahra ke ghar me.n laal-o-jawaahir hai.n beshumaar
jo sab se qeemti hai wo gauhar husain hai.n
us ka bhi hashr hoga yazeedo.n ke saath saath
jis ne kaha ki mere baraabar husain hai.n
ibn-e-ziyaad ka to wahi.n dam nikal gaya
hurr ne kaha jo mera muqaddar husain hai.n
Naat Lyrics in Hindi
दरिया हुसैन का है, समंदर हुसैन का
प्यासों के वास्ते है ये लंगर हुसैन का
है आरज़ू वहाँ भी मिले दर हुसैन का
जन्नत में बन के जाऊँ मैं नौकर हुसैन का
सूरज ने अपने सर को अदब से झुका लिया
नेज़े पे जब बलंद हुआ सर हुसैन का
सब जानते हैं कितने बहादर हुसैन हैं
मौला ‘अली के हाथ का ख़ंजर हुसैन हैं
राह-ए-ख़ुदा में घर दिया और सर भी दे दिया
अब सोचिए कि कितने दिलावर हुसैन हैं
कोई यज़ीद कैसे भला सर उठाएगा
मौजूद रब के फ़ज़्ल से घर घर हुसैन हैं
चौदह सौ साल पहले गया था जो क़ाफ़िला
उस क़ाफ़िले के आज भी रहबर हुसैन हैं
ज़हरा के घर में लाल-ओ-जवाहिर हैं बेशुमार
जो सब से क़ीमती है वो गौहर हुसैन हैं
उस का भी हश्र होगा यज़ीदों के साथ साथ
जिस ने कहा कि मेरे बराबर हुसैन हैं
इब्न-ए-ज़ियाद का तो वहीं दम निकल गया
हुर्र ने कहा जो मेरा मुक़द्दर हुसैन हैं
Naat Lyrics in Urdu
دریا حسینؑ کا ہے، سمندر حسینؑ کا
پیاسوں کے واسطے ہے یہ لنگر حسینؑ کا
ہے آرزو وہاں بھی ملے در حسینؑ کا
جنت میں بن کے جاؤں میں نوکر حسینؑ کا
سورج نے اپنے سر کو ادب سے جھکا لیا
نیزے پہ جب بلند ہوا سر حسینؑ کا
سب جانتے ہیں کتنے بہادر حسینؑ ہیں
مولا علیؑ کے ہاتھ کا خنجر حسینؑ ہیں
راہِ خدا میں گھر دیا اور سر بھی دے دیا
اب سوچیئے کہ کتنے دلاور حسینؑ ہیں
کوئی یزید کیسے بھلا سر اٹھائے گا
موجود رب کے فضل سے گھر گھر حسینؑ ہیں
چودہ سو سال پہلے گیا تھا جو قافلہ
اس قافلے کے آج بھی رہبر حسینؑ ہیں
زہراؑ کے گھر میں لال و جواہر ہیں بے شمار
جو سب سے قیمتی ہے وہ گوہر حسینؑ ہیں
اس کا بھی حشر ہوگا یزیدوں کے ساتھ ساتھ
جس نے کہا کہ میرے برابر حسینؑ ہیں
ابنِ زیاد کا تو وہیں دم نکل گیا
حر نے کہا جو میرا مقدر حسینؑ ہیں