Dard Se Mere Hai Tujhko Beqarari Haay Haay Lyrics

dard se mere hai tujh ko be-qarārī haa.e haa.e
kyā huī zālim tirī ġhaflat-shi.ārī haa.e haa.e

tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla
tū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e

kyuuñ mirī ġham-ḳhvārgī kā tujh ko aayā thā ḳhayāl
dushmanī apnī thī merī dost-dārī haa.e haa.e

umr bhar kā tū ne paimān-e-vafā bāñdhā to kyā
umr ko bhī to nahīñ hai pā.edārī haa.e haa.e

zahr lagtī hai mujhe āb-o-havā-e-zindagī
ya.anī tujh se thī ise nā-sāzgārī haa.e haa.e

gul-fishānī-hā-e-nāz-e-jalva ko kyā ho gayā
ḳhaak par hotī hai terī lāla-kārī haa.e haa.e

sharm-e-rusvā.ī se jā chhupnā naqāb-e-ḳhāk meñ
ḳhatm hai ulfat kī tujh par parda-dārī haa.e haa.e

ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.ī
uTh ga.ī duniyā se rāh-o-rasm-e-yārī haa.e haa.e

haath hī teġh-āzmā kā kaam se jaatā rahā
dil pe ik lagne na paayā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e

kis tarah kaaTe koī shab-hā-e-tār-e-barshigāl
hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī haa.e haa.e

gosh mahjūr-e-payām o chashm-e-mahrūm-e-jamāl
ek dil tis par ye nā-ummīd-vārī haa.e haa.e

ishq ne pakḌā na thā ‘ġhālib’ abhī vahshat kā rañg
rah gayā thā dil meñ jo kuchh zauq-e-ḳhvārī haa.e haa.e

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,347 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,527 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,561 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,533 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,289 views

Leave a Comment