Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par Lyrics

Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par
Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par

Durood Aap Par Salam Aap Par

Karam Ho Ham Par Bhi Bandaparwar

Durood Aap Par Salam Aap Par

Wo Sabz Gumbad Sunaheri Jali

Lauta Na Koi Waha Se Khali

Banado Mera Bhi Ab Mukaddar

Durood Aap Par Salam Aap Par

Na Paas Hai Zar Na Par Hein Mere

Chala Bhi Jata Nahi Hai Mujse

Fir Kese Pahunchu Tumhare Dar Par

Durood Aap Par Salam Aap Par

Aayega Ek Din Wo Din Suhana

Yakinan Hoga Madine Jana

Padenge Roze Par Sar Juka Kar

Durood Aap Par Salam Aap Par

Ye Aarazu Hai Madine Jayein

Pakad Ke Jaali Ye Keh Sunaen

Bachalo Ham Ko Baroze Maheshar

Durood Aap Par Salam Aap Par

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,929 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,587 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

1 thought on “Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par Lyrics”

Leave a Comment