Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge Naat Lyrics
Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge
Karam ki jab nazar ho gi Madine hum bhi jayenge
Agar jaana Madine mein huwa hum gham ke maaron ka
makeene Gumbad-e-Khazra ko haal-e-dil sunayenge
Kasam Allah ki ho ga woh manzar deed ke qabil
Qayamat mein Rasulallah jab tashreef layenge
Qayamat tak jagayenge na phir Munkar Nakeer usko
Lahad mein wo jisse apna Rukh-e-Zaiba dikhayenge
Gunahgaron mein khud aa aa kar shamil parsaa honge
Shafi-e-Hashr jab Daaman-e-Rehmat mein chupayenge
Gham-e-Ishq-e-Nabi se hoga jab maamoor dil nayyar
Tere zulmat kade mein bhi sitare jagmagayenge

Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,165 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views