Badi Shay Hai Nisbat E Mustafa
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa
Hai Waseela Apni Najaat Ka
Shahe Ambiya Ki Jo Aal Hai
Barha Uska Jaaho Jalaal Hai
Nahi Uski Koi Misaal Hai
Wo Habeebe Haq Ka Jamaal Hai
Nahi Kaal Is Mein Ye Haal Hai
Mila Usko Kaisa Kamaal Hai
Ye Khudaye Paak Ki Hai Ataa
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa
Hai Waseela Apni Najaat Ka
Wo Jo Ahle Bait Ke Hain Imaam
Bade Muttaqi Bade Nek Naam
Wo Hain Badshah To Hain Hum Ghulam
Bane Unke Madha Sara Tamaam
Bada Ooncha Har Ek Ka Hai Maqaam
Huwe Pehle Hazrat Ali Imaam
Jinhe Sab Ne Asadullah Kaha
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa
Hai Waseela Apni Najaat Ka
Ye Hain Aal Aulade Ali
Kahi In Mein Alwi Aur Fatimi
Yahi Nasl Aale Nabi Bani
Hai Mohabbat Inse To Wajibi
Hai Riyaz Huqme Khuda Yahi
Yahi Hai Hadees Huzoor Ki
Kahoon Kyun Na Phir Main Barmala
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa
Hai Waseela Apni Najaat Ka
Hain Hassan Imam Hussain Bhi
Hain Ali Raza Wo Naqi Taqi
Hain Imam Baqir-o-kazmi
Kahin Abdi Kahin Ja’fari
Koi Mahdi Koi Hai Askari
Hai Har Ek Rasool Ki Raushni
Mili Unse Duniya Ko Hai Zia
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa
Hai Waseela Apni Najaat Ka