बात कर मदीने की ज़िक्र कर मदीने का / Baat Kar Madine Ki Zikr Kar Madine Ka

बात कर मदीने की ज़िक्र कर मदीने का
इक यही सहारा है इस जहाँ में जीने का

वो तुझे बचाएंगे पार भी लगाएंगे
उन पे छोड़ दे कश्ती ग़म न कर सफ़ीने का

क्यों भटकता फिरता है पूछ अपने मुर्शद से
वो बताएंगे तुझको रास्ता मदीने का

सेहन-ए-गुलशन में भी और गुलों में भी
हर तरफ़ नुमायाँ है मोज़ज़ा पसीने का

आप के क़दम जब से आए हैं मदीने में
ज़र्रा ज़र्रा रौशन है आज भी मदीने का

ऐ अलीम चल तू भी राह ले मदीने की
बस वहीं से मिलता है राज़ हर ख़ज़ीने का

 

Baat Kar Madine Ki Zikr Kar Madine Ka
Baat Kar Madine Ki Zikr Kar Madine Ka

Ik Yehi Sahara Hai Is Jahan Mein Jeene Ka

Wo Tujhe Bachaenge Paar Bhi Lagaenge

Un Pey Chor Dey Kashti Ghum Na Kar Safeene Ka

Kyun Bhatakta Phirta Hai Puch Apne Murshid Se

Wo Bataen Ge Tujhko Raasta Madine Ka

Sehnay Gulshan Mein Bhi Aur Gulon Mein Bhi

Har Taraf Numaya Hai Mojza Paseenay Ka

Aap Ke Qadam Jab Se Aye Hain Madine Mein

Zarra Zarra Roshan Hai Aaj Bhi Madine Ka

Ey Aleem Chal Tu Bhi Rah Ley Madine Ki

Bas Vahin Se Milta Hai Raaz Harr Khazine Ka

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,197 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,933 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,601 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,057 views

Leave a Comment