BAAT JO KIJIYE AUR JAB KIJIYE LYRICS

BAAT JO KIJIYE AUR JAB KIJIYE LYRICS

Baat Jo Kijiye Or Jab Kijiye,
Saath Mein Zikr-E-Mehboob Kijiye.

Chahtay Ho Milay Zoq Ansu Bahain,
Lab Baaton Say Band Apnay Lub Kijiye.

Loh Woh Minar-O-Gumbad Nazar Aa Gaye,
Ab Salam Arz Sub Ba-Adab Kijiye.

Subz Gunbad Kay Saaye Talay Hain Kharay,
Khoob Taqdeer Par Rashk Aab Kijiye.

Woh Nawaazein Gay Khali Na Lotaayein Gay,
Unsay Hajaat Arz Apni Sub Kijiye.
Saath Mein Zikr-E-Mehboob Kijiye.

Dar Pe Aakar, Bhikari Phirein Namurad,
Yeh Gawara Bhala Aap Kab Kijiye.

Ru Baroo Jaalion Kay Kharay Hain Hazoor,
Ab Ataa Bheek Shah-E-Arab Kijiye.

Aap Kay Dar Kay Hotay Kidhar Jaayein Hum,
Ab Ataa Bheek Shah-E-Arab Kijiye

Dijiye Hum Ko Khairat Deedar Ki,
Aab Karam Ya Nabi Behr-E-Rab Kijiye.

Mar Raha Hoon Gunahoon Kay Amraaz Say,
Ek Nazar Janib-E-Jaan Balab Kijiye.

Qalb-E-Tareek Par Rakh Kay Apna Qadam,
Chaandna Mere Mah-E-Arab Kijiye.

Sun Kay Faryad Imdaad Ko Aa Gaye,
Yaad Ubaid-E-Raza Unko Jab Kijiye.

Unkay Nisar, Koi Kaisay Bhi Ranj Mein Ho,
Jab Yaad Aagaye Hain, Sub Gham Bhula Diye Hain,
Yaad Ubaid-E-Raza Un Ko Jab Kijiye.

Walah Woh Sun Lein Gay, Faryad Ko Pohnchein Gay,
Itna Bhi To Ho Koi, Jo Aah Karay Dil Say,
Yaad Ubaid-E-Raza Unko Jab Kijiye.

Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye,
Saath Main Zikr-E-Mehboob Kijiye.

Urdu Naat Information:
Sana Khuwaan: Owais Raza Qadri
Kalaam By: Obaid-E-Raza

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,952 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...755 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...737 views

Leave a Comment