Baabe Haram khula hai Chati Ki Bahar Hai Lyrics
Baabe Haram khula hai Chati ki bahar hai
Har soo nuzoole rehmate Parwardigar hai
Hum Hindiyon ke dil mein jo Imaan ka noor hai
Usmaan ke laal ka karam be shumaar hai
Sadqa Rasoole Paak ka Ajmer mein mile
Dariya e faiz Chisht ka ye aabshaar hai
Zahid bahare ishq ki kuch kaifiyat na pooch
Har zakhme dil hara hai jigar laala zaar hai
Dhalti hai shaame zindagi Khwaja ab aaiye
Sayyid ki chashme nam ko tera intezaar hai
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...528 views