Aye Nabi E Ins O Jaan Aap Par Laakhon Salam Lyrics | Barkate Raza

Aye Nabi E Ins-o-jaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Keh Raha Hai Kul Jahaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Aap Ke Khadmon Tale Rondhi Gayi Har Ek Shae

Ye Makaan Wo Lamakaan Aap Par Laakhon Salaam

Kehte Kehte Mai Jiyoon Kehte Kehte Mar Mitoon

Aap Hi Ki Daastaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Ye Shab E Meraaj Hai Aap Ke Sar Taaj Hai

Afsare Paighambara(n) Aap Par Laakhon Salaam

Aap Ke Ham Hai Ghulaam Dil Se Karte Hai Salaam

Ham Me Hai Peer-o-jawaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Rote Hai Ham Roz-o-shab Taiba Bulwao Ge Kab

Kab Ho Khismat Darakh Shaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Kab Bulaenge Huzoor Kab Mile Dil Ko Suroor

Paaye Kab Wo Karwaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Ya Muhammad Mustafa Ya Mumajjad Mujtaba

Ya Nabi Akhir Zamaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Haq Ka Pohchaya Payaam Ho Chuka Hai Deen Tamaam

Keh Raha Hai Ye Quraa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Kya Zameen Kya Asmaa(n) Ho Chuke Hai Zufasha

Sab Andheron Ke Makaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Muttaqui Par Ab Huzoor Nighe Remat Ho Zuroor

Aye Shae Kowno Makaa(n) Aap Par Laakhon Salaam

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,278 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,980 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,948 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,629 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,102 views

Leave a Comment