AYE KAASH UNKE DAR PAR YUN MAUT MERI AAYE NAAT LYRICS

AYE KAASH UNKE DAR PAR YUN MAUT MERI AAYE NAAT LYRICS

 

Aye kaash unke dar par yun maut meri aaye
Nazre jhuki ho meri dil naat gungunaye

Mere Rab mujhe ata ho dar e Mustafa ka manzar
Wo haseen sabz gunbad meri aankhon me samaye

Mai chalunga jhum kr phir khuld e baree ki janib
Jo shafi e roz e mehshar meri har khata mitaye

Aaghosh khole jannat usko pukarti hai
Jo shaqs apni maa ke qadmon me let jaye

Meri zindagi ka maqsad ho ghulamiye Payambar
Rahe justaju ye dil me bas isi me maut aaye

Ye aarzu hai meri ye ghulam unke dar par
Roro ke unko apne halaat e gham sunaye

Ye Tameem ki dua hai halaat e puralam me
Mujh par karam ho Aaqa rahe rehmato ke saye

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,211 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,067 views

Leave a Comment