ASEERO KE MUSHKIL KUSHA GAUS E AAZAM NAAT LYRICS

ASEERO KE MUSHKIL KUSHA GAUS E AAZAM NAAT LYRICS

 

Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
Faqeeron Ke Haajat Rawaa Gaus e Aazam

Ghira Hai Balaaoñ Meiñ Bandaa Tumhara
Madad Ke Liye Aao Ya Gaus E Aazam

Tere Haath Meiñ Haath Maine Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj Ya Gaus E Azam

Mureedoñ Ko Khatra Nahiñ Behre Gam Se
Ke Bede Ke Haiñ Naakhuda Gaus E Azam

Tumheeñ Dukh Suno Apne Aafat Zadoñ Ka
Tumheeñ Dard Ki Do Dawa Gaus E Aazam

Bhañwar Meiñ Phansa Hai Hamara Safeena
Bachaa Gaus E Aazam Bachaa Gaus E Aazam

Jo Dukh Bhar Rahaa Hooñ Jo Gam Seh Rahaa Hooñ
Kahooñ Kis Se Tere Siwa Gaus E Aazam

Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranj O Gam Ki
Tere Haath Meiñ Hai Dawaa Gaus E Azam

Agar Sultanat Ki Hawas Ho Faqeeroñ
Kaho “Shai Al Lillah” Ya Gaus E Aazam

Nikaala Hai Pehle Tho Doobe Huwoñ Ko
Aur Ab Doobtoñ Ko Bacha Gaus E Aazam

Jise Khalq Kehti Hai Pyaara Khuda Ka
Usi Ka Hai Thu Laadla Gaus E Aazam

Phañsa Hai Tabaahi Meiñ Beda Hamaara
Sahara Lagaa Dhu Zara Ghous E Aazam

Mashaaikh Jahaañ Aaye Bahr E Gadaai
Wo Hai Teri Daulat Saraa Gaus E Aazam

Meri Mushkiloñ Ko Bhi Aasan Kijiye
Ke Haiñ Aap Mushkil Kusha Gaus E Aazam

Wahaañ Sar Jhukaate Haiñ Sab Uñche Uñche
Jahaañ Hai Tera Naqsh E Paa Gaus E Aazam

Qasam Hai Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paaya
Kaha Hum Ne Jis Waqt Yaa Gaus E Aazam

Muje Apni Ulfat Meiñ Aisaa Guma De
Na Paaoñ Phir Apna Pataa Gaus E Aazam

Bachaale Gulaamoñ Ko Majbooriyoñ Se
Ke Tu Abd E Qaadir Hai Yaa Gaus E Aazam

Kahe Kis Se Jaakar Hasan Apne Dil Ki
Suney Kaun Tere Siwaa Gaus E Aazam

 

 

*ᐗ──────────────ᐓ*

*“📕ⒶⒶⓎⒶⓉ-Ⓔ-ⓀⒶⓇⒺⒺⓂⒶ👇*

*﴿ ﺍَﻟۡﯿَﻮۡﻡَ ﺍَﮐۡﻤَﻠۡﺖُ ﻟَﮑُﻢۡ ﺩِﯾۡﻨَﮑُﻢۡ ﴾ ]Al-Maidah, 05 : 03[ ….*

_*📃✍🏽👉🏼Aaj Mein Ne Tumhare Liye Deen Ko Muqammal Kar Diya….✍🏽*_

_*📃✍🏽👉🏼Kee Shaan-E-Nuzool Me Muhaddithin Wa Mufassirin Ne Ye Hadith Mubarak Bayan Kee Hai :*_

 

 

*📃✍🏽👉🏼“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Ne Athaara-18 Jil-Hijja Ko Ye Roza Rakha Us Ke Liye Saath-60 Mahinon Ke Rozon Ka Sawaab Likha Jaayega, Aur Ye Ghadir Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ka Haath Pakad Kar Farmaya :👇*_

_*📃✍🏽Kya Mein Mominin Ka Waali Nahin Hoo’n? Unhone Ne Kaha : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ !*_

_*🌹🌻🌹Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya :👇*_

_*❣♻❣Jis Ka Mein Maula Hoo’n, Us Ka Ali Maula Hai.*_

_*📃✍🏽👉🏼Is Par Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :👇*_

_*📃✍🏽👉🏼Mubarak Ho ! Aye Ibn Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Maula Thahre.*_

_*👆📃✍🏽(Is Mouqa Par) Allah Ta’ala Ne Ye Aayat Naazil Farmayi :👇*_

_*☝🏻📃✍🏽“Aaj Mein Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Muqammal Kar Diya.”*_

_*[ 📒Khatib Baghdadi, Tarikh Baghdad, 08/290,*_

_*📃✍🏽Ibn Asakir Ne “ Tarikh Dimishq Al-Kabir (45/179)” Me Ye Riwayat Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Bhi Lee Hai*_

_*📃✍🏽👉🏼Suyuti Ne “Ad-Durr-ul-Manthur Fi At-Tafsir Bil-Mathur (02/259)” Me Aayat Mazkura Kee Shaan-E-Nuzool Ke Hawaale Se Likha Hai Ki Jab Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Ghadir Khum Ke Roz “ ﻣﻦ ﻛﻨﺖ ﻣﻮﻻﻩ ﻓﻌﻠﻰ ﻣﻮﻻﻩ” Ke Alfaz Farmaye To Ye Aayat-E-Kareema Naazil Huwi.]*_

 

ᐗ──────────────ᐓ*

*“📕ⒶⒶⓎⒶⓉ-Ⓔ-ⓀⒶⓇⒺⒺⓂⒶ👇*

*﴿ ﺍَﻟۡﯿَﻮۡﻡَ ﺍَﮐۡﻤَﻠۡﺖُ ﻟَﮑُﻢۡ ﺩِﯾۡﻨَﮑُﻢۡ ﴾ ]Al-Maidah, 05 : 03[ ….*

_*👆🌹♻“Imam Fakhr-ud-Deen Razi ﴿ “ ﯾٰۤﺎَﯾُّﮩَﺎ ﺍﻟﺮَّﺳُﻮۡﻝُ ﺑَﻠِّﻎۡ ﻣَﺎۤ ﺍُﻧۡﺰِﻝَ ﺍِﻟَﯿۡﮏَ ﻣِﻦۡ ﺭَّﺑِّﮏ ﴾ [Al-Ma’idah, 05 : 67]….*_

_*🌹♻👉🏼(Aye {Barguzida} Rasool ﷺJo Kuchh Aap Kee Taraf Aap Ke Rab Kee Jaanib Se Naazil Kiya Gaya Hai {Woh Saara Logon Ko} Pahuncha Dijiye)….*_

_*🌹♻👉🏼Ka Shaan-E-Nuzool Bayan Karte Huwe Farmate Hain :👇*_

_*🌹♻👉🏼Ye Aayat-E-Mubarak Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Kee Fazilat Me Naazil Huwi Hai, Jab Ye Aayat-E-Mubarak Naazil Huwi To Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ka Haath Pakada Aur Farmaya 👇:*_

_*❣💎❣Jis Ka Mein Maula Hoo’n, Us Ka Ali Maula Hai, Aye Allah !*_

_*🌹♻👉🏼Too Use Dost Rakh Jo Ise Dost Rakhe, Aur Us Se Adaawat Rakh Jo Is Se Adaawat Rakhe.*_

_*🌹♻👉🏼Us Ke (Fauran) Baad Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Se Mulaqat Kee Aur Farmaya :👇*_

_*🌹♻👉🏼Aye Ibn Abi Talib! Aap Ko Mubarak Ho, Ab Aap Mere Aur Har Momin Aur Mominah Ke Maula Qaraar Paaye Hain.*_

_*🌹♻👉🏼Ise Abdullah Bin Abbas, Bara’ Bin Aazib Aur Mohammad Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhum Aj’maeen Ne Riwayat Kiya Hai.”*_

_*[ 📒Razi, Tafsir-ul-Kabir, 12/49, 50,*_

_*📗Ibn Abi Hatim Razi Ne “Tafsir Al-Qur’an Al-Azim (04/1172, Raqam-6609)”*_

_*🌹♻👉🏼Mein Atiyya Oufi Se Hazrat Aboo Saeed Khudari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Riwayat Naqal Kee Ki Soorah Al-Ma’idah Kee Aayat No. 67 Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Kee Shaan Me Naazil Huwi.*_

_*🌹♻🌹Alaawa Darje Zayl Ne Bhi Ye Riwayat Naqal Kee Hai :*_

_*📕Suyuti, Ad-Durr-ul-Manthur Fi At-Tafsir Bil-Mathur, 02/298,📕*_

 

Leave a Comment