Apne Daman e Shafat Mein Naat Lyrics

अपने दामान-ए-शफ़ाअत में छुपाए रखना | मेरे सरकार मेरी बात बनाए रखना / Apne Daman-e-Shafaat Mein Chhupaye Rakhna | Mere Sarkar Meri Baat Banaye Rakhna
अपने दामान-ए-शफ़ा’अत में छुपाए रखना
मेरे सरकार ! मेरी बात बनाए रखना

आप की याद से आबाद है दिल मेरा, हुज़ूर !
बंदा-परवर ! मेरी हस्ती को बसाए रखना

आप याद आएँ तो फिर याद न आए कोई
ग़ैर की याद मेरे दिल से भुलाए रखना

इसी मंसब का तलबगार हूँ मैं भी, आक़ा !
ख़ाक हूँ मैं, मुझे क़दमों से लगाए रखना

जब सवा नेज़े पे ख़ुर्शीद-ए-क़यामत होगा
अपनी ज़ुल्फ़ों के गुनहगार पे साए रखना

मैं ने माना कि निकम्मा हूँ, मगर आप का हूँ
मुझ निकम्मे को भी, सरकार ! निभाए रखना

उन के हो जाओ, हर इक चीज़ उन्हीं से माँगो
अपने दामन में न एहसान पराए रखना

उन के आने की घड़ी है, वो हैं आने वाले
मेरे सरकार की महफ़िल को सजाए रखना

शायद इस राह से, ख़ालिद ! मेरे आक़ा ग़ुज़रें
अपनी पलकों को सर-ए-राह बिछाए रखना


शायर:
सय्यिद ख़ालिद अब्दुल्लाह अशरफ़ी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ुल्फ़िक़ार अली हुसैनी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

 


apne daamaan-e-shafaa’at me.n chhupaae rakhna
mere sarkaar ! meri baat banaae rakhna

aap ki yaad se aabaad hai dil mera, huzoor !
banda-parwar ! meri hasti ko basaae rakhna

aap yaad aae.n to phir yaad na aae koi
Gair ki yaad mere dil se bhulaae rakhna

isi mansab ka talabgaar hu.n mai.n bhi, aaqa !
KHaak hu.n mai.n, mujhe qadmo.n se lagaae rakhna

jab sawa neze pe KHursheed-e-qayaamat hoga
apni zulfo.n ke gunahgaar pe saae rakhna

mai.n ne maana ki nikamma hu.n, magar aap ka hu.n
mujh nikamme ko bhi, sarkaar ! nibhaae rakhna

un ke ho jaao, har ik cheez unhi.n se maango
apne daaman me.n na ehsaan paraae rakhna

un ke aane ki gha.Di hai, wo hai.n aane waale
mere sarkaar ki mehfil ko sajaae rakhna

shaayad is raah se, KHaalid ! mere aaqa guzre.n
apni palko.n ko sar-e-raah bichhaae rakhna


Poet:
Sayed Khalid Abdullah Ashrafi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Zulfiqar Ali Hussaini
Hafiz Tahir Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,551 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,146 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,893 views

Leave a Comment