Allah Salamat Rakkhe Milaad Manane Walon ko Naat Lyrics

Allah Salamat Rakkhe Milaad Manane Walon ko Naat Lyrics

 

Allah Salamat Rakhe

Allah Salamat Rakkhe Milaad Manane Walon ko
Allahumma Salle Ala Sayyedina Mohammadin

Sarkar Ki ulfat se Imaan ko Jagaye Ja
Sub Ahle Mohabbat ko Deewana Banaye Ja.

Aqa ne Rakha Roza Khud Apni Wiladat ka
Sunnat Hai Mohammed (Sallalahu Alaihi Wasallam) ki Is Din ko ManayeJa.

Touseef Nahi Mumkin us Fakhre Do Alaam ki
Naghme Hi Duroodoun kay aaj unke Sunaye Jaa.

Milaad ki Sa’at hai mil jayega jo maango
Ghar apna zara tu bhi jannat may banaye jaa.

unke rukhe e roshan ki tamseel ho kya mumkin
koi bhi nahi unsa yeh sub ko bataya jaa.

duniya ki mohabbat se is dil ko bachaye jaa
aaqa ki addaoun ko toh dil me basaye jaa

apne ne do alam may sarkar sahara hai
Bus unki mohabbat se daarein banaye jaa.

Jibreel ki sunnat hai is din toh uda parcham
aaqa ki wiladat par jhandoun ko lagaye jaa.

isiya ki tere baqshish toh chahe agar ahmed
bus unki mohabbat ko seene may basaye jaa.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,052 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,919 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,912 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,536 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,000 views

Leave a Comment