Allah Allah Ke Nabi Se Fariyaad Hai Nafs Ki Badee Se Lyrics

Allah Allah Ke Nabi Se Naat Lyrics
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad Hai Nafs Ki Badi Se

Din Bhar Khailo(N) Me Khaak Udaai
Laaj Aai Na Zarro(N) Ki Ha(n)si Se

Shab Bhar Sone He Se Gharaz Thi
Taaron Ne Hazaar Daant Peese

Imaan Par Mout Behtar O Nafs
Teri Naapak Zindagi Se

O Shahad Numa-E-Zahar Dar Jaam
Gum Jaaun Kidhar Teri Badi Se

Gahre Pyaare Purane Dil Soz
Guzra Mein Teri Dosti Se

Tujh Se Jo Uthaaye Maine Sadme
Aise Na Mile Kabhi Kisi Se

Uff Re Khud Kaam Be Murawwat
Padta Hai Kaam Aadmi Se

Tu Ne He Kiya Khuda Se Naadim
Tu Ne He Kiya Khajil Nabi Se

Kaise Aaqa Ka Hukm Tala
Hum Mar Mite Teri Khud-Sari Se

Aati Na Thi Jab Badi Bhi Tujhko
Hum Jante Hein Tujhe Jabhi Se

Had Ke Zaalim Sitam Ke Kattar
Patthar Sharmaaye(n) Tere Ji Se

Ham Khaak Me Mil Chuke Hein Kab Ke
Nikla Na Gubaar Tere Ji Se

Hai Zaalim ! Mein Nbaahoo(N) Tujhse
Allalh Bachaye Us Ghadi Se

Jo Tum Ko Na Jaanta Ho Hazrat
Chaale(N) Chaliye Us Ajnabi Se

Allah Ke Saamne Woh Gun The
Yaaro Me Kaise Muttaki Se

Rahzan Ne Loot Li Kamaai
Fariyaad Hai Khizr Haashmi Se

Allah Kooye(N) Me Khud Gira Hun
Apni Naalish Kahun Tujhi Se

Hein Pushte Panaah Ghosde Aazam
Kyon Darte Ho Tum RAZA Kisi Se

अल्लाह अल्लाह के नबी से
फ़रियाद है नफ़्स की बदी से

दिन भर खेलों में ख़ाक उड़ाई
लाज आई न ज़र्रों की हंसी से

शब भर सोने ही से ग़रज़ थी
तारों ने हज़ार दांत पीसे

ईमान पे मौत बेहतर ओ नफ़्स
तेरी नापाक ज़िन्दगी से

ओ शह्द नुमाए ज़ह़र दर जाम
गुम जाऊं किधर तेरी बदी से

गहरे प्यारे पुराने दिल सोज़
गुज़रा मैं तेरी दोस्ती से

तुझ से जो उठाए मैने सदमे
ऐसे न मिले कभी किसी से

उफ़ रे खुद काम बे मुरव्वत
पड़ता है काम आदमी से

तू ने ही किया खुदा से नादिम
तू ने ही किया ख़जिल नबी से

कैसे आक़ा का हुक्म टाला
हम मर मिटे तेरी खुद-सरी से

आती न थी जब बदी भी तुझको
हम जानते हैं तुझे जभी से

ह़द के ज़ालिम सितम के कट्टर
पत्थर शरमाएं तेरे जी से

हम ख़ाक में मिल चुके हैं कब के
निकला न गुबार तेरे जी से

है ज़ालिम ! मैं निबाहूं तुझसे
अल्लाह बचाए उस घड़ी से

जो तुम को न जानता हो ह़ज़रत
चालें चलिये उस अजनबी से

अल्लाह के सामने वोह गुन थे
यारों में कैसे मुत्तक़ी से

रहज़न ने लूट ली कमाई
फ़रियाद है ख़िज़र हाशिमी से

अल्लाह कूंएं में खुद गिरा हूँ
अपनी नालिश करूं तुझी से

हैं पुश्ते पनाह ग़ौसे आ’ज़म
क्यूं डरते हो तुम रज़ा किसी से

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...286 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...162 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...131 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...131 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...120 views

Leave a Comment