Ae Raah E Haq Ke Shahidon Hindi Lyrics

Aye Raah-e-Haq Ke Shaheedo Lyrics

 

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो / Aye Raah-e-Haq Ke Shaheedo
ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो ! वफ़ा की तस्वीरो !
तुम्हें वतन की हवाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

लगाने आग जो आए थे आशियाने को
वो शो’ले अपने लहू से बुझा दिए तुम ने
बचा लिया है यतीमी से कितने फूलों को
सुहाग कितनी बहारों के रख लिए तुम ने
तुम्हें चमन की फ़ज़ाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

चले जो होगे शहादत का जाम पी कर तुम
रसूल-ए-पाक ने बाहों में ले लिया होगा
‘अली तुम्हारी शुजा’अत पे झूमते होंगे
हुसैन-ए-पाक ने इरशाद ये किया होगा
तुम्हें ख़ुदा की रज़ाएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

जनाब-ए-फ़ातिमा, जिगर-ए-रसूल के आगे
शहीद हो के किया माँ को सुर्ख़-रू तुम ने
जनाब-ए-हज़रत-ए-ज़ैनब गवाही देती हैं
शहीदो ! रखी है बहनों की आबरू तुम ने
वतन की बेटियाँ, माएँ सलाम कहती हैं

ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो !

शायर:
मुशीर काज़मी

नशीद-ख़्वाँ:
नसीम बेगम
अमजद बल्तिस्तानी
हाफ़िज़ ग़ुलाम-ए-मुस्तफ़ा क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
साजिद क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

ai raah-e-haq ke shaheedo ! wafa ki tasweero !
tumhe.n watan ki hawaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

lagaane aag jo aae the aashiyaane ko
wo sho’le apne lahoo se bujha diye tum ne
bacha liya hai yateemi se kitne phoolo.n ko
suhaag kitni bahaaro.n ke rakh liye tum ne
tumhe.n chaman ki fazaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

chale jo hoge shahaadat ka jaam pee kar tum
rasool-e-paak ne baaho.n me.n le liya hoga
‘ali tumhaari shujaa’at pe jhoomte honge
husain-e-paak ne irshaad ye kiya hoga
tumhe.n KHuda ki razaae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

janaab-e-faatima, jigar-e-rasool ke aage
shaheed ho ke kiya maa.n ko surKH-roo tum ne
janaab-e-hazrat-e-zainab gawaahi deti hai.n
shaheedo ! rakhi hai behno.n ki aabroo tum ne
watan ki beTiyaa.n, maae.n salaam kehti hai.n

ai raah-e-haq ke shaheedo !

Poet:
Mushir Kazmi

Nasheed-Khwaan:
Naseem Bagum
Amjad Baltistani
Hafiz Ghulam Mustafa Qadri
Asad Raza Attari
Sajid Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment