Aaya Hai Ye Tera Deewana Shayal Lillah Shayal Lillah
Aaya Hai Ye Tera Deewana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Kehta Hai Ye Har Dam Mastana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Tu Peer Mera La-Sani Hain
Aur Ghous Mera Jeelani Hain
Main Tera Mureed Hu Deewana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Hai Huqm Tera Huqm E Rabbi
Ik Damm Me Jo Chahe Karde Wahi
Ye Daur Tera Hai Shanana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Main Badd Hi Sahi Main Chor Sahi
Main Mujrim Khati Kuchh Hi Sahi
Par Tera Hu Jaane Jaana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Chahu Jo Agar Tujhko Chahu
Dekhu Jo Agar Tujhko Dekhu
Kar De Mujhe Sab Se Be-gaana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Choote Na Kabhi Tu Aur Ahmad
Mushkil Jo Pade Ho Teri Madad
Gar Waqt E Naz’a Ho Aa Jaana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Lete Rahe Hum Sab Naam Tera
Karte Rahe Mil Kar Kaam Tera
Baghdad Se Ho Aab O Daana
Shayal Lillah Shayal Lillah
Sab Tere Mazaar E Anwar Par
Hote Hain Nichavar Aa Aa Kar
Tu Sham’a Hai Aalam Parwana
Shayal LillahShayal Lillah
Khushtar Ko Bulaya Rouze Par
Ummeed Se Di Ne’amat Badh Kar
Ho Lutf Karam Ye Saalana
Shayal Lillah Shayal Lillah