Aasaan nahin padhna nauha Ali Akbar ka Noha Lyrics
Aasaan nahin padhna nauha Ali Akbar ka
Sarwar Se Koi Pooche Marna Ali Akbar Ka
Laila ne kaha ro kar kis tarahan karoon rukhsat
Main dekhte hi jeeti hoon chhera Ali Akbar ka
Attharan baras jisne paala Ali Akbar ko
Dekhe woh Phupi kyonkar laasha Ali Akbar ka
Marne ko azaadaron yeh zulm hi kya kam hai
Naizen se hua zakhmi seena Ali Akbar ka
Ya Shah-e-Najaf badh ke ab Aap sahara dein
Maula se nahin uttha laasah Ali Akbar ka
Dahleez par sar rakkhen aasoon liye aakhon mein
Beemar Bahen dekhey rasta Ali Akbar ka
Laila na kaha Sughra Akbar to nahin palte
Taskeen ko laye hoon kurta Ali Akbar ka
Is dil mein Fareed* apne ab ek hi hasrat hai
Padhte huey mar jaaon nauha Ali Akbar Ka
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...525 views