Aale Ahmed Ki Azmat Pe Laakhon Salaam Lyrics

Aale Ahmed Ki Azmat Pe Laakhon Salaam

Ibne Haider Ki Rif’at Pe Laakhon Salaam

Mustafa Ke Dil O Jaan Hussain O Hasan

Nau-jawaanane Jannat Pe Laakhon Salaam

Hum Shabihe Nabi Akbar E Mahjabeen

Noor Walon Ki Soorat Pe Laakhon Salaam

Jo Sahaabi Bhi Hai Aur Nawaase Bhi Hai

Unki Tauqeer O Nisbat Pe Laakhon Salaam

Khoon Se Karbala Jin Ke Sairaab Hai

Un Shaheedon Ki Azmat Pe Laakhon Salaam

Jin Se Khush Hai Khuda Aur Khuda Ka Nabi

Unki Taabinda Qismat Pe Laakhon Salaam

Chhod Kar Apna Khutba Liya Goad Mein

Noor E Ain E Risaalat Pe Laakhon Salaam

Jisne Karbal Mein Zinda Kiya Deen Ko

Uski Shaane Shuja’at Pe Laakhon Salaam

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,661 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,576 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,292 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,196 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,092 views

Leave a Comment