SAHIB E MERAJ HAIN AUR AYN E NOOR AAQA HUZOOR NAAT LYRICS

SAHIB E MERAJ HAIN AUR AYN E NOOR AAQA HUZOOR NAAT LYRICS

 

Sahib e Meraj hain aur ayn e Noor Aaqa Huzoor
Do jaha’n me nemat e Rabb e Ghafoor Aaqa Huzoor

Chaand,Surat, kehkasha’n abr o shafaq qaus o qazah
Paate hain naqsh e kaf e paa se hi noor Aaqa Huzoor

Naat padhte inbisaat o shauq se hain aaj bhi
Aap ke shehr e muqaddas me tuyoor Aaqa Huzoor

Hain yahan A’da ke narghe charsu islaam par
Raham kar dije ke ho ye jor door Aaqa Huzoor

Be hayaai ho gayi hai aam har ek shehr me
Door hon ham sab se ye fisq o fujoor Aaqa Huzoor

Sojish e naar e jahannam se bachayenge hame’n
Hain bila shak shafa e youm un nushoor Aaqa Huzoor

Ye naveed e jaa’n fiza tujh ko mili hai aye “Tameem”
Roz e mehshar bakhshwayenge zaroor Aaqa Huzoor

Az qalam- Peerzada Syed Tameem Hussaini Ashrafi saheb qibla maddazillahul aali
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Huzoor Qutbe Raichur

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,762 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,619 views

Leave a Comment