Badi Shay Hai Nisbat E Mustafa Naat Lyrics

Badi Shay Hai Nisbat E Mustafa
Badi Shai Hai Nisbate Mustafa

Hai Waseela Apni Najaat Ka

Shahe Ambiya Ki Jo Aal Hai

Barha Uska Jaaho Jalaal Hai

Nahi Uski Koi Misaal Hai

Wo Habeebe Haq Ka Jamaal Hai

Nahi Kaal Is Mein Ye Haal Hai

Mila Usko Kaisa Kamaal Hai

Ye Khudaye Paak Ki Hai Ataa

Badi Shai Hai Nisbate Mustafa

Hai Waseela Apni Najaat Ka

Wo Jo Ahle Bait Ke Hain Imaam

Bade Muttaqi Bade Nek Naam

Wo Hain Badshah To Hain Hum Ghulam

Bane Unke Madha Sara Tamaam

Bada Ooncha Har Ek Ka Hai Maqaam

Huwe Pehle Hazrat Ali Imaam

Jinhe Sab Ne Asadullah Kaha

Badi Shai Hai Nisbate Mustafa

Hai Waseela Apni Najaat Ka

Ye Hain Aal Aulade Ali

Kahi In Mein Alwi Aur Fatimi

Yahi Nasl Aale Nabi Bani

Hai Mohabbat Inse To Wajibi

Hai Riyaz Huqme Khuda Yahi

Yahi Hai Hadees Huzoor Ki

Kahoon Kyun Na Phir Main Barmala

Badi Shai Hai Nisbate Mustafa

Hai Waseela Apni Najaat Ka

Hain Hassan Imam Hussain Bhi

Hain Ali Raza Wo Naqi Taqi

Hain Imam Baqir-o-kazmi

Kahin Abdi Kahin Ja’fari

Koi Mahdi Koi Hai Askari

Hai Har Ek Rasool Ki Raushni

Mili Unse Duniya Ko Hai Zia

Badi Shai Hai Nisbate Mustafa

Hai Waseela Apni Najaat Ka

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,498 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,806 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,692 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,127 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,878 views

Leave a Comment