Dil me kisi ko aur basaaya na jaayega Naat Lyrics
Dil me kisi ko aur basaaya na jaayega
Zikre Rasoole Paak bhulaaya na jaayega
Woh khud hi jaan lenge jataaya na jaayega
Hum se to apna haal sunaaya na jaayega
Hum ko jazaa milegi Muhammad se Ishq ki
Dozakh ke aas paas bhi laaya na jaayega
Kehte the ye Bilal tashadud pe kufr ke
Ishqe Nabi to dil se nikaala na jaayega
Beshak Huzoor Shaafae Mehshar hain Munkiron
kya Un ka saamne Tumhe laaya na jaayega
Maanega unki baat Khuda hashr me Naseer
Bin Mustafa Khuda ko manaaya na jaayega
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...525 views