Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Naat Lyrics

Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Naat Lyrics

 

Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai,
Teri Rah Me Ankhiya Bichate Bichate
Teri Hasrato Me Teri Chahato me
Bade Din Hue Ghar Sajaate Sajaate.
Mera Hai ye Imaan Ye Mera Yaqeen Hai,

Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen hai
ke Rukh Unka dekha hai Jab Se Qamar Ne,
Nikalta Hai Munh ko Chupate Chupate.
Qayamat Ka Manzar Bada Pur khatar hai,

Magar Mustafa Ko jo Deewana Hoga
Woh Pul Se Guzar Jaayega Wajd Karte,
Ye Naara Nabi Ka Lagate Lagate.
Mere Lab Pe Maula Na Koi Sadaa Hai,

Faqat Mujh Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Meri rooh Nikle Dar-e-Mustafa Pe,
Ghame Dil Nabi Ko Sunate Sunate.
Ye Maana Ke Ik Din aani Qaza Hai,

Magar Dosto Tumse Ye Iltijaa Hai
Shehre Muhammad ki Har Ek Gali Se
Jaanaza Uthana Ghumate Ghumate.
Hai Kaabe ki azmat bhi apni jagah par
Magar dil me Haakim tamanna yahi hai
Jo mil jaaaye naqshe kafe paaye Ahmed
To mar jaaye sar ko jhukate jhukate.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,974 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,109 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...759 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...738 views

Leave a Comment