Muhammad Ke Shaher Mein Naat Lyrics

Muhammad Ke Shaher Mein Naat Lyrics

 

Kyu Aake Ro Raha Hai Muhammad Ke Shaher Mein
Har Dard Ki Dawa Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Qadmo Ne Unke Khaak Ko Kundan Bana Diya
Mitti Bhi Kimiya Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Sadqa Luta Raha Hai Khuda Unke Naam Ka
Sona Nikal Raha Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Sab Toh Jhuke Hai Khana E Kaaba Ke Samne
Kaaba Jhuka Hua Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Aay Maut Abhi Aake Gale Se Laga Mujhe
Marna Mai Chahta Hu Muhammad Ke Shaher Mein

Aay Raaj Garche Hind Me Maujud Hu Magar
Dil Naat Padh Raha Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,763 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,623 views

Leave a Comment