Nahi He Koi Duniya Main Hamara Naat Lyrics

Nahi He Koi Duniya Main Hamara Naat Lyrics

 

Nahi He Koi Duniya Main Hamara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Sarapa Maaseaat Hoon Baar Hay Bay Had Gunahoon Ka
Bachana Nar-E-Dozakh Say Khuda Raa Ra Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Talatum Khaiz Hay Daria Bhanwar Main Hay Mairi Kashti
Nazar Aata Naheen Koi Kinara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Faqat Aamal Kay Badlay Naan Paye Ga Koi Janat
Naan Ho Ga Jab Talak Tera Ishara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Haqeeqat Main Bohat Berh Kar Hay Arsh-E-Mo’ala Sey
Zameen Jiss Par Ho Naqsh-E-Paa Tumhara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Tarapta Hay Maira Dil Aur Tarasti Hain Bohat Aankhaien
Bula Loophir Madinay Main Dobara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Gunahgaaraan-E-Ummat Ka Khajal Hoona Saza Pana
Tairi Rehmat Ko Kab Ho Ga Gawara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Dam-E-Aakhir Zara Hassam Par Itna Karam Karna
Keh Uss Kay Lab Par Hoo Kalma Tumhara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Naheen Hay Koi Dunia Main Hamara Ya Rasool Allah
Faqat Hay Aap Hee Ka Ik Sahara Ya Rasool Allah

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,166 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment