Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Naat Lyrics

Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa Naat Lyrics

 

Maheboob e khuda nabiyoon ke sardar ke jaisa sarkar ke Jaisa
Hai Kon bhala Ahemad e mukhtaar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Kiya is me Ajab kah diya Sidra ke makeen ne Jibreel e ameen Ne
Dekha na koi sayede abraar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Siddeeq hoon Farooq hoon Usman e gani hoon Ya Maula Ali Hoon
Hai yaar Kahan Dunya Me In Chaar Ke Jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Wo Maula Ali Sheere Khuda Fateh e Khaibar Damaad e Payyambar
Laye To koi Haidar e karrar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Aye chaand Tera Husn o Jamaal apni jaga hai Bilal apni Jaga hai
Aya na koi inke Khareedaar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Aye Baab e iram Teri baharoon me nahi hai Hazaaron mein nahi hai
Taiba ke haseen un gulo Gulzar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa.

Maheboob e khuda nabiyoon ke sardar ke jaisa sarkar ke Jaisa
Hai Kon bhala Ahemad e mukhtaar ke jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Palta hai sada aap ke tukdoon pe zamana Hasnain ke nana, Gulzar ke nana
Darbaar kahan aap ke darbaar ke jaisa sarkar ke Jaisa Sarkar ke Jaisa Mere Sarkar Ke Jaisa

Is urs e ke mauqe pe sama khoob bhandha Aaj Dulha Hai Ye Banata
Ye Noor Chamakta Hai us Anwaar ke Jaisa sarkar ke Jaisa

Aye sahiloon Daamane Niyazi Zara Dhar loo Aur jholiyaan Bhar Lo
Jhad Taa Hai Yahan Phool Chaman Zaar Ke Jaisa Sarkar Ke Jaisa

Gulzar koi aur Haseen Ho to Batau Kaheen Ho to Dikhao
Kaunain me Us Paikaroo Anwaar ke Jaisa sarkar ke Jaisa

Aal e Ali Ki shaan badi Zaat Badi Hai Haan Baat Badi Hai
Dekha Na Kaheen Sayed e Gulzar ke Jaisa sarkar ke Jaisa

Submit By Muhammad Khaleel Raza Qadri Razvi Mujeebi

KALAM E HUZUR GULZAR E MILLAT QIBLA !

Leave a Comment