MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM NAAT LYRICS

MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM NAAT LYRICS

 

Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam
Daste Qudrat Ke Shahkaar Salaam

Dono Aalam Ke Taajdaar Salaam
Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam

Khaake Taibah Bane Meri Hasti
Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam

Phir Madine Mein Kab Bulaaoge
Tum Se Kehta Hai Intizaar Salaam

Mujhe Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahee
Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam

Khuld Kehti Hai Yeh Madeene Se
Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam

Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila
Jiska Barhta Rahe Khumaar Salaam

Dard E Ulfat Mein De Mazaa Aisa
Dil Na Paaye Kabhi Qaraar Salaam

Teri Khaatir Zaleel Hona Hai
Meri Izzat Mere Waqaar Salaam

Apne Akhtar Ka Lo Salaam Shaha
Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,449 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,564 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,583 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,547 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,307 views

Leave a Comment