DIL KO UNSE KHUDA JUDA NA KARE NAAT LYRICS
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare
Bekasi Loot Le Khuda Na Kare
Isme Rouze Ka Sajdah Ho Ki Tawaaf
Hosh Me Jo Na Ho Wo Kya Na Kare
Ye Wahi Hai Ki Baksh Dete Hai
Kaun In Jurmo Par Saza Na Kare
Sab Tabeebo Ne De Diya Hai Jawaab
Aah Eesa Agar Dawaa Na Kare
Dil Kaha Le Chala Haram Se Mujhe
Are Tera Bura Khuda Na Kare
Uzre Ummeed E Afw(a) Gar Na Sune
Ru Siyaah Aur Kya Bahana Kare
Dil Me Roushan Hai Shamm’e Ishq E Huzoor
Kaash Joshe Havas Hawa Na Kare
Hashr Me Hum Bhi Sayr Dekhenge
Munkir Aaj Unse Ilteja Na Kare
Zof Maana Magar Ye Zaalim Dil
Unke Raste Me To Thaka Na Kare
Jab Teri Khu Hai Sabka Jee Khana
Wahi Achha Jo Dil Bura Na Kare
Dil Se Ik Zouk E May Ka Talab Hu
Kaun Kehta Hai Itteqa Na Kare
Le ‘Raza’ Sab Chale Madine Ko
Mai Na Jaun Are Khuda Na Kare
Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...16 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...15 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...11 views
Allah Badshah Maula Badshahअल्लाह बादशाह मौला बादशाह / Allah Badshah Maula Badshah या अल्लाहु !...6 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...6 views