KAHAN MAIN KAHAN MADH-E-ZAT-E-GIRAMI NAAT LYRICS

KAHAN MAIN KAHAN MADH-E-ZAT-E-GIRAMI NAAT LYRICS

 

कहाँ मैं कहाँ मद्ह-ए-ज़ात-ए-गिरामी
न ‘सा’दी’ न ‘रूमी’ न ‘क़ुदसी’ न ‘जामी’
पसीने-पसीने हुआ जा रहा हूँ
कहाँ ये ज़बाँ और कहाँ नाम-ए-नामी

सलाम उस शहंशाह-ए-हर-दो-सरा पर
दरूद उस इमाम-ए-सफ़-ए-अंबिया पर
पयामी तो बे-शक सभी मोहतरम हैं
मगर अल्लह अल्लाह ख़ुसूसी पयामी

फ़लक से ज़मीं तक है जश्न-ए-चराग़ाँ
कि तशरीफ़ लाते हैं शाह-ए-रसूलाँ
ख़ुशा-जल्वा-ए-माहताब-ए-मुजस्सम
ज़हे आमद-ए-आफ़्ताब-ए-तमामी

कोई ऐसा हादी दिखा दे तो जानें
कोई ऐसा मोहसिन बता दे तो जानें
कभी दोस्तों पर नज़र एहतिसाबी
कभी दुश्मनों से भी शीरीं कलामी

इताअ’त के इक़रार भी हर क़दम पर
शफ़ा’अत का इक़रार भी हर नज़र में
उसूलन ख़ताओं पे तंबीह लेकिन
मिज़ाजन ख़ता-कार बंदों के हामी

ये आँसू जो आँखों से मेरी रवाँ हैं
अता-ए-शहंशाह-ए-कौन-ओ-मकाँ हैं
मुझे मिल गया जाम-ए-सहबा-ए-कौसर
मिरे काम आई मिरी तिश्ना-कामी

फ़क़ीरों को क्या काम तब्ल-ओ-अलम से
गदाओं को क्या फ़िक्र जाह-ओ-हशम की
अबाओं क़बाओं का मैं क्या करूँगा
‘अता हो गया मुझ को ताज-ए-ग़ुलामी

उन्हें सिद्क़-ए-दिल से बुला के तो देखो
नदामत के आँसू बहा के तो देखो
लिए जाओ उक़्बा में नाम-ए-मोहम्मद
शफ़ा’अत का ज़ामिन है इस्म-ए-गिरामी

kahan main kahan mad.h-e-zat-e-girami
na sadi na rumi na qudsi na jami
pasine-pasine hua ja raha huun
kahan ye zaban aur kahan nam-e-nami

salam us shahanshah-e-har-do-sara par
darud us imam-e-saf-e-ambiya par
payami to be-shak sabhi mohtaram hain
magar allah allah khususi payami

falak se zamin tak hai jashn-e-charaghan
ki tashrif laate hain shah-e-rasulan
khusha-jalva-e-mahtab-e-mujassam
zahe amad-e-aftab-e-tamami

koi aisa haadi dikha de to janen
koi aisa mohsin bata de to janen
kabhi doston par nazar ehtisabi
kabhi dushmanon se bhi shirin kalami

ita.at ke iqrar bhi har qadam par
shafa’at ka iqrar bhi har nazar men
usulan khataon pe tambih lekin
mizajan khata-kar bandon ke haami

ye aansu jo ankhon se meri ravan hain
ata-e-shahanshah-e-kaun-o-makan hain
mujhe mil gaya jam-e-sahba-e-kausar
mire kaam aai miri tishna-kami

faqiron ko kya kaam tabl-o-alam se
gadaon ko kya fikr jah-o-hasham ki
abaon qabaon ka main kya karunga
‘ata ho gaya mujh ko taj-e-ghulami

unhen sidq-e-dil se bula ke to dekho
nadamat ke aansu baha ke to dekho
liye jaao uqba men nam-e-mohamad
shafa’at ka zamin hai ism-e-girami

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment