KYA KHABAR KYA SAZA MUJH KO MILTI NAAT LYRICS

KYA KHABAR KYA SAZA MUJH KO MILTI NAAT LYRICS

Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti, Mere Aqa Ne Izzat Bachali
Farde Isiyan Meri Mujh Se Le Kar, Kali Kamli Mein Apni Chupali

Woh Aata Par Ata Karne Wale, Aur Ham Bhi Nahin Talne Wale
Jaisi Deodi He Waise Bhikari, Jaisa Data Hein Waise Sawali

Mein Ghada Hoon Magar Kis Ke Dar Ka, Woh Jo Sultan-E-Kono Makan Hein
Yeh Ghulami Bari Mustanad He, Mere Sar Par He Taj-E-Bilali

Mein Madine Se Kya Agaya Hun, Zindagi Jaise Bujh Si Gayi Hai
Ghar Ke Andar Faza Soni Soni, Ghar Key Bahar Sama Khali Khali

Meri Umr-E-Rawan Bas Thehar Jaa, Ab Safar Ki Zuroorat Nahin Hai
Unke Qadmon Mein Meri Jabeen Hai, Aur Haathon Mein Roze Ki Jali

Mein Faqat Naam Lewa Hun Unka, Unki Tawseef Mein Kya Karoonga
Mein Na Iqbal, Khusro Na Saadi, Mein Na Qudsi Na Jami Na Hali

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,559 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,546 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,275 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,185 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,076 views

Leave a Comment