Mujh Ko Mili Hai Izzat Attar Ki Badaulat

Mujh Ko Mili Hai Izzat Attar Ki Badaulat
मुझ को मिली है ‘इज़्ज़त ‘अत्तार की बदौलत
चमकी है मेरी क़िस्मत ‘अत्तार की बदौलत

अपना बनाया मुझ को, सीने लगाया मुझ को
जो भी है मेरी वुक़’अत ‘अत्तार की बदौलत

‘अत्तार का मैं सग हूँ, समझो न दर-ब-दर हूँ
क्या ख़ूब मेरी निस्बत ‘अत्तार की बदौलत

सर पर सजे ‘अमामे, पुर-नूर दाढ़ियाँ हैं
ज़िंदा हुई है सुन्नत ‘अत्तार की बदौलत

अल्लाह ! मुस्तफ़ा की, मेरे ग़ौस और रज़ा की
पैदा हो दिल में उल्फ़त ‘अत्तार की बदौलत

बिगड़ी बना दे, मौला ! हर ग़म मिटा दे, मौला !
पूरी हो मेरी हाजत ‘अत्तार की बदौलत

है बिलाल-ए-क़ादरी की आख़िर यही तमन्ना
रौशन हो इस की तुर्बत ‘अत्तार की बदौलत

ना’त-ख़्वाँ:
अब्दुल हबीब अत्तारी

 

mujh ko mili hai ‘izzat ‘attar ki badaulat
chamki hai meri qismat ‘attar ki badaulat

apna banaaya mujh ko, seene lagaaya mujh ko
jo bhi hai meri wuq’at ‘attar ki badaulat

‘attar ka mai.n sag hu.n, samjho na dar-ba-dar hu.n
kya KHoob meri nisbat ‘attar ki badaulat

sar par saje ‘amaame, pur-noor daa.Dhiyaa.n hai.n
zinda hui hai sunnat ‘attar ki badaulat

allah ! mustafa ki, mere Gaus aur raza ki
paida ho dil me.n ulfat ‘attar ki badaulat

big.Di bana de, maula ! har Gam miTa de, maula !
poori ho meri haajat ‘attar ki badaulat

hai Bilaal-e-Qadri ki aaKHir yahi tamanna
raushan ho is ki turbat ‘attar ki badaulat

Naat-Khwaan:
Abdul Habib Attari

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...358 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...242 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...232 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...187 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...169 views

Leave a Comment