Hazrat Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi ka likha aur parha gaya ye nihayat hi maqbool aur imaan-afroz kalam ‘Koi Sau Baar Poochhe Main Kahun Har Baar Kafi Hai’ aashiqan-e-rasool ke jazbaat ki behtareen tarjumani karta hai. Is khubsoorat kalam mein ishq-e-rasool, dargah-e-mustafa ki azmat aur maslak-e-alahazrat ki haq-goi ko nihayat hi dil-kash andaz mein bayan kiya gaya hai. Aiye is deewangi aur aqeedat se bhare kalam ko mukammal taur par Roman, Hindi aur Urdu rasm-ul-khat mein padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Koi Sau Baar Poochhe Main Kahun Har Baar Kafi Hai |
| Poet / Writer | Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi |
| Category | Naat Sharif / Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Sayyed Abdul Wasi Qadri Razavi |
Naat Lyrics in Roman
koi sau baar poochhe, mai.n kahu.n har baar kaafi hai
mai.n deewana hu.n, mujh ko bas tera deedaar kaafi hai
maseeha-e-zamaana ne kiya waapas mujhe keh kar
mareez-e-yaar ! jaa tujh ko nigaah-e-yaar kaafi hai
pahunch kar teri chaukhaT par tera deewana kehta hai
mujhe jannat se kya lena, tera darbaar kaafi hai
zamaane ke har ik marhab ko miTTi me.n milaana ho
sar-e-maidaa.n KHayaal-e-haidar-e-karraar kaafi hai
likhi naa’t-e-nabi phaansi ka phanda choom kar jis ne
wo hindustaan ka shaa’ir qateel-e-daar kaafi hai
sikhaaya jo wazeefa waalida ne Gaus-e-aa’zam ko
Gulaamo ! kaafi kaafi ki yahi takraar kaafi hai
jo Gaddaar-e-nabi ko zer karna ho, Wasi ! phir to
imaam ahmad raza ke naam ka ik waar kaafi hai
Naat Lyrics in Hindi
कोई सौ बार पूछे, मैं कहूँ हर बार काफ़ी है
मैं दीवाना हूँ, मुझ को बस तेरा दीदार काफ़ी है
मसीहा-ए-ज़माना ने किया वापस मुझे कह कर
मरीज़-ए-यार ! जा तुझ को निगाह-ए-यार काफ़ी है
पहुँच कर तेरी चौखट पर तेरा दीवाना कहता है
मुझे जन्नत से क्या लेना, तेरा दरबार काफ़ी है
ज़माने के हर इक मरहब को मिट्टी में मिलाना हो
सर-ए-मैदाँ ख़याल-ए-हैदर-ए-कर्रार काफ़ी है
लिखी ना’त-ए-नबी फाँसी का फंदा चूम कर जिस ने
वो हिन्दुस्तान का शा’इर क़तील-ए-दार काफ़ी है
सिखाया जो वज़ीफ़ा वालिदा ने ग़ौस-ए-आ’ज़म को
ग़ुलामो ! काफ़ी काफ़ी की यही तकरार काफ़ी है
जो ग़द्दार-ए-नबी को ज़ेर करना हो, वसी ! फिर तो
इमाम अहमद रज़ा के नाम का इक वार काफ़ी है
Naat Lyrics in Urdu
کوئی سو بار پوچھے، میں کہوں ہر بار کافی ہے
میں دیوانہ ہوں، مجھ کو بس تیرا دیدار کافی ہے
مسیحائے زمانہ نے کیا واپس مجھے کہہ کر
مریضِ یار! جا تجھ کو نگاہِ یار کافی ہے
پہنچ کر تیری چوکھٹ پر تیرا دیوانہ کہتا ہے
مجھے جنت سے کیا لینا، تیرا دربار کافی ہے
زمانے کے ہر اک مرحب کو مٹی میں ملانا ہو
سرِ میدان خیالِ حیدرِ کرار کافی ہے
لکھی نعتِ نبی پھانسی کا پھندا چوم کر جس نے
وہ ہندوستان کا شاعر قتیلِ دار کافی ہے
سکھایا جو وظیفہ والدہ نے غوثِ اعظم کو
غلامو! کافی کافی کی یہی تکرار کافی ہے
جو غدارِ نبی کو زیر کرنا ہو، وسی! پھر تو
امام احمد رضا کے نام کا اک وار کافی ہے