rasoole khuda ka ye farman hai lyrics

है क़ौल-ए-मुहम्मद क़ौल-ए-ख़ुदा फ़रमान न बदला जाएगा / Hai Qaul-e-Muhammad Qaul-e-Khuda Farman Na Badla Jayega
है क़ौल-ए-मुहम्मद क़ौल-ए-ख़ुदा, फ़रमान न बदला जाएगा
बदलेगा ज़माना लाख मगर क़ुरआन न बदला जाएगा

शाहों को बदलते देखा है, शाहीं को बदलते देख लिया
इस्लाम की कश्ती का लेकिन सुल्तान न बदला जाएगा

सर लाख उठाएगा ज़ालिम, होगी न फ़तह हरगिज़ हासिल
हक़ वाले रहेंगे हक़ पे सदा, ईमान न बदला जाएगा

सब दुनिया होगी फ़ौत इक दिन, आएगी मौत को मौत इक दिन
क़ानून अटल है क़ुदरत का, इक आन न बदला जाएगा

आज़ाद ! ये कह दो दुनिया से, जब तक ये मुसलमाँ ज़िंदा हैं
इस्लाम की ज़ेब-ओ-ज़ीनत का सामान न बदला जाएगा

नशीद-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ मुनीर अहमद

 

hai qaul-e-muhammad qaul-e-KHuda
farmaan na badla jaayega
badlega zamaana laakh magar
qur.aan na badla jaayega

shaaho.n ko badalte dekha hai
shaahee.n ko badalte dekh liya
islam ki kashti ka lekin
sultaan na badla jaayega

sar laakh uThaaega zaalim
hogi na fatah hargiz haasil
haq waale rahenge haq pe sada
imaan na badla jaayega

sab duniya hogi faut ik din
aayegi maut ko maut ik din
qaanoon aTal hai qudrat ka
ik aan na badla jaayega

Aazad ! ye keh do duniya se
jab tak ye musalmaa.n zinda hai.n
islam ki zeb-o-zeenat ka
saamaan na badla jaayega

Nasheed-Khwaan:
Hafiz Munir Ahmed

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,552 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,725 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,155 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,894 views

Leave a Comment