ghame hussain hamesha naya nazar aaya lyrics

Ghame Hussain hamesha naya nazar aayaYeh zakhm koi bhi rut ho hara nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hum usko kahtey hain Maula -e-kayanaat ke joNabi kisi ko kisi ko Khuda naya nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jahan bhi baith gaye majlis-e-Hussain ko humWahi se khuld ka ek raasta nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Zaroor bhagti faujey ke sar par pao theyLabe Furaath na ek naqsh-e-pa nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Yeh tum ne teer se kya has ke kah diya AsgharNishana tum pe, mara Hurmula nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Tamaam raat charagh-e-zameer ki lau meinSawara Hur ke liye jaagta nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Bujhi jo aag Saah-e-Karbala ke khaimon kiAmir-e-Shyam ka chhera jala nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Jo aasman pa shafaq ki ibaratoon ka payaamLahu se likkha hua Karba la nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Salaam us par jisse zer-e-khanjar e qatilMaqaam-e-Sajda-e-shukr e Khuda nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Hussain usko ata ho Anees* ka sadqaTere huzoor sarafa dua nazar aayaGhame Hussain hamesha naya nazar aaya

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,405 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,544 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,566 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,539 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,301 views

Leave a Comment